Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri parwaz

Amjad Najmi

meri parwaz

Amjad Najmi

MORE BYAmjad Najmi

    Interesting Fact

    (مثنوی)

    yahāñ aayā thā ik havā.ī jahāz

    khule jis ke aane se uḌne ke raaz

    'ajab us shoḳhī-e-parvāz thī

    hamesha falak par tag-o-tāz thī

    mujhe bhī milā thā dil-e-be-qarār

    to hotā na kyoñ maiñ bhī us par savār

    zamīñ par jo rah rah ke uktā gayā

    to uḌne uḌāne pe dil aa gayā

    ġharaz maiñ bhī tayyāre meñ baiTh kar

    huā garm-e-parvāz aflāk par

    tamanna jo parvāz dil meñ thī

    mujhe jānib-e-āsmāñ le uḌī

    ye ghan-ghan ye ghar-ghar ye farfar shor

    ye pnkhe chakkar ye mahshar shor

    ye uThne lagā dandanātā huā

    ye uḌne lagā pech khātā huā

    ye taḳht-e-sulaimāñ ravāna huā

    falak is ab shāmiyāna huā

    sutūn-e-havā ko chalā kāTtā

    ye tesha hai goyā ki farhād

    jo ye bādaloñ ko bhī detā hai chiir

    ye arjun rath hai ki rustam tiir

    parī tarah uḌ rahā hai ye saaf

    fazā is ke haq meñ banī koh-e-qāf

    dar-e-charḳh is ke liye baaz hai

    ye ḳhāk-e-rah-e-kushta-e-nāz hai

    'ajab is ke uḌne andāz hai

    humā hai ye hudhud hai baaz hai

    ye pīl-e-damāñ hai havā par ravāñ

    ḳhushā aadmī ye 'azm-e-javāñ

    sū-e-yār jaatā hai ye nāma-bar

    mire nāma-bar ko lage bāl-o-par

    havāoñ ke dariyā kashtī hai ye

    fazā ke samundar machhlī hai ye

    fazā meñ havā ye jhoñkā banā

    hamāre liye ye hiñDolā banā

    pare dasht-o-dariyā ke uḌtā phirā

    palaTtā phirā aur muḌtā phirā

    gayā jis tarah sū-e-‘arsh-e-barīñ

    phir aayā usī tarh sū-e-zamīñ

    ġharaz sair kar ke utar aa.e ham

    na.e marhaloñ se guzar aa.e ham

    yahan aaya tha ek hawai jahaz

    khule jis ke aane se uDne ke raaz

    'ajab us ki shoKHi-e-parwaz thi

    hamesha falak par tag-o-taz thi

    mujhe bhi mila tha dil-e-be-qarar

    to hota na kyon main bhi us par sawar

    zamin par jo rah rah ke ukta gaya

    to uDne uDane pe dil aa gaya

    gharaz main bhi tayyare mein baiTh kar

    hua garm-e-parwaz aflak par

    tamanna jo parwaz ki dil mein thi

    mujhe jaanib-e-asman le uDi

    ye ghan-ghan ye ghar-ghar ye farfar ka shor

    ye pnkhe ka chakkar ye mahshar ka shor

    ye uThne laga dandanata hua

    ye uDne laga pech khata hua

    ye taKHt-e-sulaiman rawana hua

    falak is ka ab shamiyana hua

    sutun-e-hawa ko chala kaTta

    ye tesha hai goya ki farhad ka

    jo ye baadalon ko bhi deta hai chir

    ye arjun ka rath hai ki rustam ka tir

    pari ki tarah uD raha hai ye saf

    faza is ke haq mein bani koh-e-qaf

    dar-e-charKH is ke liye baz hai

    ye KHak-e-rah-e-kushta-e-naz hai

    'ajab is ke uDne ka andaz hai

    huma hai ye hudhud hai ya baz hai

    ye pil-e-daman hai hawa par rawan

    KHusha aadmi ka ye 'azm-e-jawan

    su-e-yar jata hai ye nama-bar

    mere nama-bar ko lage baal-o-par

    hawaon ke dariya ki kashti hai ye

    faza ke samundar ki machhli hai ye

    faza mein hawa ka ye jhonka bana

    hamare liye ye hinDola bana

    pare dasht-o-dariya ke uDta phira

    palaTta phira aur muDta phira

    gaya jis tarah su-e-‘arsh-e-barin

    phir aaya usi tarh su-e-zamin

    gharaz sair kar ke utar aae hum

    nae marhalon se guzar aae hum

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

    Speak Now