Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaKHiri KHwahish

Hammad Hasan

aaKHiri KHwahish

Hammad Hasan

MORE BYHammad Hasan

    dekh kar beTe ke lachchhan baap ne us se kahā

    paḌhā.ī meñ nikammā hai mire juzv-e-badan

    āḳhirī ḳhvāhish hai merī jaan le ai nūr-e-chashm

    commissioner ban nahīñ saktā na ban leader to ban

    paanī paanī kar ga.ī beTe ko abbā ye baat

    jhukā jab saas ke aage to phir naukar bhī ban

    bhuul kar sab qadreñ apnī ham to hindū ho ga.e

    jaane ham ko ab kahāñ le jā.egā dīvāna-pan

    gar yahī mahñgā.ī aalam rahā to ek din

    bechnā paḌ jā.egā ham ko bhī apnā pairahan

    dekh kar beTe ke lachchhan bap ne us se kaha

    tu paDhai mein nikamma hai mere juzw-e-badan

    aaKHiri KHwahish hai meri jaan le ai nur-e-chashm

    tu commissioner ban nahin sakta na ban leader to ban

    pani pani kar gai beTe ko abba ki ye baat

    tu jhuka jab sas ke aage to phir naukar bhi ban

    bhul kar sab qadren apni hum to hindu ho gae

    jaane hum ko ab kahan le jaega diwana-pan

    gar yahi mahngai ka aalam raha to ek din

    bechna paD jaega hum ko bhi apna pairahan

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now