board of interwiew
kuttā kyuuñ apnī dum dabātā hai
kitne meñ ek bandar aatā hai
āsmāñ par sitāre kitne haiñ
shahr meñ ġham ke maare kitne haiñ
thobaḌīpur meñ kitne maalī haiñ
shahr meñ kai makān ḳhālī haiñ
aaj kyā bhaao hai batāshe kā
keats kā vazn kitne māshe thā
Longfellow kī kitnī Tāñgeñ thiiñ
sub.h murġhe ne kitnī bāñgeñ diiñ
urdu novel meñ kyā jhukāv hai
kyuuñ na.ī shā.irī meñ taao hai
shā.irī ke haiñ kitne imkānāt
us pe quliyoñ ke kyā haiñ ehsānāt
'zauq' kitne ruupe kamātā thā
apnī biivī se kyuuñ chhupātā thā
mirzā-'ġhālib' ke kitne bachche the
kitne jhūTe the kitne sachche the
aa ke mahmūd satrah hamloñ meñ
kaun shai le gayā thā gamloñ meñ
kuchh kaho ālūoñ ke baare meñ
kuchh kaho bhāluoñ ke baare meñ
kyuuñ hameñ dekh kar ho tum gum-sum
ulluoñ se kabhī mile ho tum
kutta kyun apni dum dabaata hai
kitne mein ek bandar aata hai
aasman par sitare kitne hain
shahr mein gham ke mare kitne hain
thobaDipur mein kitne mali hain
shahr mein kai makan KHali hain
aaj kya bhao hai batashe ka
keats ka wazn kitne mashe tha
Longfellow ki kitni Tangen thin
subh murghe ne kitni bangen din
urdu nowel mein kya jhukaw hai
kyun nai shairi mein tao hai
shairi ke hain kitne imkanat
us pe quliyon ke kya hain ehsanat
'zauq' kitne rupe kamata tha
apni biwi se kyun chhupata tha
mirza-'ghaalib' ke kitne bachche the
kitne jhuTe the kitne sachche the
aa ke mahmud satrah hamlon mein
kaun shai le gaya tha gamlon mein
kuchh kaho aaluon ke bare mein
kuchh kaho bhaaluon ke bare mein
kyun hamein dekh kar ho tum gum-sum
ulluon se kabhi mile ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.