Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gadhon ka challenge

Harfan Lakhnavi

gadhon ka challenge

Harfan Lakhnavi

MORE BYHarfan Lakhnavi

    jo rahbar-e-aqvām se mausūm gad.he haiñ

    kam-baḳht vo paidā.eshī mazlūm gad.he haiñ

    āsā.ish-o-ārām se mahrūm gad.he haiñ

    public tarah jitne bhī māsūm gad.he haiñ

    izzat hai gadhoñ na Thikāna hai gadhoñ

    leader yahī kahtā hai zamāna hai gadhoñ

    fitrat sag-e-ḳhūñ-ḳhvār insān meñ aa.ī

    ġhairoñ se mohabbat hai to apno se laḌā.ī

    ḳhū-e-ḳhar-e-mazlūm bashar ne nahīñ paa.ī

    kartā hai musalmāñ musalmān piTā.ī

    muslim tarah koī bhī nādān nahīñ hai

    sad-shukr ki ḳhar ik bhī musalmān nahīñ hai

    ham ghaas shikva na talab daal kareñge

    āvāz meñ paidā nayā sur-tāl kareñge

    mil-jul ke gad.he zulm ko pāmāl kareñge

    insāñ baqā ke liye haḌtāl kareñge

    ai rāhbaro chain se jiine nahīñ deñge

    insāñ lahū aap ko piine nahīñ deñge

    leader hai vo ġhunDoñ ko jo sardār banā.e

    insāñ ke dimāġhoñ ko sharar-bār banā.e

    kursī ke liye maut ke kirdār banā.e

    marne ke liye itemi hathiyār banā.e

    goloñ se bharā ek bhī sandūq nahīñ hai

    hāthoñ meñ gad.hoñ ke koī bandūq nahīñ hai

    ālāt-e-jadal aap ne ījād kiye haiñ

    paidā bhī na.e tarz ke jallād kiye haiñ

    kuchh jel se qazzāq bhī āzād kiye haiñ

    vīrān makāñ shahr bhī barbād kiye haiñ

    paañv kisī leader na deñge gad.he jamne

    jis roz siyāsat meñ qadam rakh diyā ham ne

    jo rahbar-e-aqwam se mausum gadhe hain

    kam-baKHt wo paidaeshi mazlum gadhe hain

    aasaish-o-aram se mahrum gadhe hain

    public ki tarah jitne bhi masum gadhe hain

    izzat hai gadhon ki na Thikana hai gadhon ka

    leader yahi kahta hai zamana hai gadhon ka

    fitrat sag-e-KHun-KHwar ki insan mein aai

    ghairon se mohabbat hai to apno se laDai

    KHu-e-KHar-e-mazlum bashar ne nahin pai

    karta hai musalman ki musalman piTai

    muslim ki tarah koi bhi nadan nahin hai

    sad-shukr ki KHar ek bhi musalman nahin hai

    hum ghas ka shikwa na talab dal karenge

    aawaz mein paida naya sur-tal karenge

    mil-jul ke gadhe zulm ko pamal karenge

    insan ki baqa ke liye haDtal karenge

    ai rahbaro chain se jine nahin denge

    insan ka lahu aap ko pine nahin denge

    leader hai wo ghunDon ko jo sardar banae

    insan ke dimaghon ko sharar-bar banae

    kursi ke liye maut ke kirdar banae

    marne ke liye itemi hathiyar banae

    golon se bhara ek bhi sanduq nahin hai

    hathon mein gadhon ke koi banduq nahin hai

    aalat-e-jadal aap ne ijad kiye hain

    paida bhi nae tarz ke jallad kiye hain

    kuchh jel se qazzaq bhi aazad kiye hain

    viran makan shahr bhi barbaad kiye hain

    panw kisi leader ka na denge gadhe jamne

    jis roz siyasat mein qadam rakh diya hum ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now