Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gadhon ka mushaere

Saghar Khayyami

gadhon ka mushaere

Saghar Khayyami

MORE BYSaghar Khayyami

    ik raat maiñ ne ḳhvāb meñ dekhā ye mājrā

    ik pe ho rahā hai gadhoñ mushā.ere

    vo niile piile qumqume maidāñ harā-bharā

    baiThā hai farsh-e-sabz pe ik surma.ī gadhā

    jitne gad.he haiñ sab ke taḳhallus haiñ vāhiyāt

    kone meñ baiThī dum ko hilātī haiñ ḳharriyāt

    kuchh moTe taaze ḳhar the ka.ī lāġhar-o-nahīf

    kuchh fanne-ḳhāñ gad.he the ka.ī mehrbāñ sharīf

    kuchh aise-vaise aur ka.ī shā.erī ke chief

    sarqa-pasand aaTh the aur das ġhazal ke thief

    Dhen.chū meñ jin rañg thā vo saare hiT ga.e

    vāqif na the jo saat suroñ se vo piT ga.e

    bā-hosh jo gad.he the vo baiThe gadhī ke paas

    'saġhar' bhī ke baiTh ga.e ras-bharī ke paas

    kaddū sar liye hue chhappan-chhurī ke paas

    ismat thā jis naam vo baiThī darī ke paas

    barfī thūthnī pe likhe band dosto

    muñh meñ zabān hai ki shakarqand dosto

    sīdhī kanautiyoñ meñ vo bandoñ āb-o-tāb

    āvāz-e-sho.ala-var meñ mahaktī huī sharāb

    palkoñ chilmanoñ meñ chhupe raushnī ke ḳhvāb

    toḌe paḌā thā jism ko uThtā huā shabāb

    qadreñ thiiñ jin ke paas vo sar ko jhukā.e the

    jo manchale gad.he the vo thūthan uThā.e the

    mike pe aa ke shor machāte hue gad.he

    pānoñ pe ghaas chabāte hue gad.he

    tirshūl zehn o dil pe chalāte hue gad.he

    dīvār nafratoñ uThāte hue gad.he

    jo the urūz-dāñ vo rivāyat meñ band the

    be-bahra jo gad.he the taraqqī-pasand the

    ek raat main ne KHwab mein dekha ye majra

    ek ja pe ho raha hai gadhon ka mushaere

    wo nile pile qumqume maidan hara-bhara

    baiTha hai farsh-e-sabz pe ek surmai gadha

    jitne gadhe hain sab ke taKHallus hain wahiyat

    kone mein baiThi dum ko hilati hain KHarriyat

    kuchh moTe taze KHar the kai laghar-o-nahif

    kuchh fanne-KHan gadhe the kai mehrban sharif

    kuchh aise-waise aur kai shaeri ke chief

    sarqa-pasand aaTh the aur das ghazal ke thief

    Dhenchu mein jin ki rang tha wo sare hiT gae

    waqif na the jo sat suron se wo piT gae

    ba-hosh jo gadhe the wo baiThe gadhi ke pas

    'saghar' bhi ja ke baiTh gae ras-bhari ke pas

    kaddu sa sar liye hue chhappan-chhuri ke pas

    ismat tha jis ka nam wo baiThi dari ke pas

    barfi si thuthni pe likhe band dosto

    munh mein zaban hai ki shakarqand dosto

    sidhi kanautiyon mein wo bandon ki aab-o-tab

    aawaz-e-shoala-war mein mahakti hui sharab

    palkon ki chilmanon mein chhupe raushni ke KHwab

    toDe paDa tha jism ko uThta hua shabab

    qadren thin jin ke pas wo sar ko jhukae the

    jo manchale gadhe the wo thuthan uThae the

    mike pe aa ke shor machate hue gadhe

    panon ki ja pe ghas chabaate hue gadhe

    tirshul zehn o dil pe chalate hue gadhe

    diwar nafraton ki uThate hue gadhe

    jo the uruz-dan wo riwayat mein band the

    be-bahra jo gadhe the taraqqi-pasand the

    Source:

    kulliyat-e-saghar khyaamii (Pg. 307)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now