Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gharib-KHana hamesha se jail-KHana hai

Syed Zameer Jafri

gharib-KHana hamesha se jail-KHana hai

Syed Zameer Jafri

MORE BYSyed Zameer Jafri

    ġharīb-ḳhāna hamesha se jail-ḳhāna hai

    mirā mizāj laḌakpan se leadarana hai

    ilāhī ḳhair dil-e-zār o nā-tavān ḳhair

    ki aaj un har andāz hitlerana hai

    tum aaj kyuuñ ye governor se ban ke baiThe ho

    kaho kaho mirī jaañ kis ko āzmānā hai

    diloñ farsh bichhā hai jidhar nigāh karo

    tumhārā ghar bhī diloñ kabāḌ-ḳhāna hai

    na dekh aah mujhe ai nigāh-e-yār na dekh

    ki aaj terā har andāz jārehāna hai

    mujhe 'zamīr' ḳhudā ke karam se kyā na milā

    mizāj garm tabī.at bhī shā.irāna hai

    gharib-KHana hamesha se jail-KHana hai

    mera mizaj laDakpan se leadarana hai

    ilahi KHair dil-e-zar o na-tawan ki KHair

    ki aaj un ka har andaz hitlerana hai

    tum aaj kyun ye gowernor se ban ke baiThe ho

    kaho kaho meri jaan kis ko aazmana hai

    dilon ka farsh bichha hai jidhar nigah karo

    tumhaara ghar bhi dilon ka kabaD-KHana hai

    na dekh aah mujhe ai nigah-e-yar na dekh

    ki aaj tera har andaz jarehana hai

    mujhe 'zamir' KHuda ke karam se kya na mila

    mizaj garm tabiat bhi shairana hai

    Source:

    Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 176)

    • Author: Hassan Abbasi
      • Edition: 2004
      • Publisher: Nastaleeq Matbuaat
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now