Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi

MORE BYSaghar Khayyami

    chhā.ī haiñ har ik samt jo holī bahāreñ

    pichkāriyāñ taane vo hasīnoñ qatāreñ

    haiñ haath hinā-rañg to rañgīn phuvāreñ

    ik dil se bhalā aartī kis kis utāreñ

    chandan se badan āb-e-gul-e-shoḳh se nam haiñ

    sau dil hoñ agar paas to is bazm meñ kam haiñ

    mehrāb-e-dar-e-mai-kadā har ābrū-e-ḳhamdār

    bal khāne se shoḳhī meñ bane jaate haiñ talvār

    kahtā hai har ik dil ki fidā-e-lab-o-ruḳhsār

    sab ishq ke saudā.ī haiñ ma.ashūq ḳharīdār

    sūraj bhī parastār hai biñdiyā chamak

    har zaḳhm maza letā hai chehre ke namak

    rañgīn phuvāreñ haiñ ki sāvan jhaḌī hai

    būñdoñ ke nagīnoñ ne har ik shakl jaḌī hai

    chillāte haiñ āshiq ki musībat ghaḌī hai

    vo shoḳh liye rañg jo hāthoñ meñ khaḌī hai

    taskīn milegī jo gale aan lagegī

    paanī ke bujhā.e se na ye aag bujhegī

    tasvīr banī jaatī hai ik nāz-o-adā se

    paanī huī jaatī hai koī sharm-o-hayā se

    resham laTeñ ruḳh pe ulajhtī haiñ havā se

    buDDhe bhī duā karte haiñ jiine ḳhudā se

    ma.ashūq koī rañg jo chehre pe lagā de

    ham kyā haiñ farishte ko bhī insān banā de

    haiñ gandumī chehre to badan sab ke hare haiñ

    rañgīn phuvāroñ se chaman dil ke bhare haiñ

    us dil ko dil kahiye qadam jis pe dhare haiñ

    dil pāñv-tale shoḳh jo pāmāl kare haiñ

    hai jashn-e-bahārāñ to chalo holī manā.eñ

    is rañg ke sailāb meñ sab mil ke nahā.eñ

    nafrat ke taraf-dār nahīñ sāhib-e-irfāñ

    dete haiñ sabaq pyaar ke giitā ho ki qur.āñ

    tyauhār to tyauhār hai hindū na musalmāñ

    ham rañg uchhaleñ to pakā.eñ vo sivayyāñ

    ranjīda paḌosī jo uThā dār-e-jahāñ se

    ḳhushiyoñ guzar hogā na phir tere makāñ se

    chhai hain har ek samt jo holi ki bahaaren

    pichkariyan tane wo hasinon ki qataren

    hain hath hina-rang to rangin phuwaren

    ek dil se bhala aarti kis kis ki utaren

    chandan se badan aab-e-gul-e-shoKH se nam hain

    sau dil hon agar pas to is bazm mein kam hain

    mehrab-e-dar-e-mai-kada har aabru-e-KHamdar

    bal khane se shoKHi mein bane jate hain talwar

    kahta hai har ek dil ki fida-e-lab-o-ruKHsar

    sab ishq ke saudai hain mashuq KHaridar

    suraj bhi parastar hai bindiya ki chamak ka

    har zaKHm maza leta hai chehre ke namak ka

    rangin phuwaren hain ki sawan ki jhaDi hai

    bundon ke naginon ne har ek shakl jaDi hai

    chillate hain aashiq ki musibat ki ghaDi hai

    wo shoKH liye rang jo hathon mein khaDi hai

    taskin milegi jo gale aan lagegi

    pani ke bujhae se na ye aag bujhegi

    taswir bani jati hai ek naz-o-ada se

    pani hui jati hai koi sharm-o-haya se

    resham si laTen ruKH pe ulajhti hain hawa se

    buDDhe bhi dua karte hain jine ki KHuda se

    mashuq koi rang jo chehre pe laga de

    hum kya hain farishte ko bhi insan bana de

    hain gandumi chehre to badan sab ke hare hain

    rangin phuwaron se chaman dil ke bhare hain

    us dil ko hi dil kahiye qadam jis pe dhare hain

    dil panw-tale shoKH jo pamal kare hain

    hai jashn-e-bahaaran to chalo holi manaen

    is rang ke sailab mein sab mil ke nahaen

    nafrat ke taraf-dar nahin sahib-e-irfan

    dete hain sabaq pyar ke gita ho ki quran

    tyauhaar to tyauhaar hai hindu na musalman

    hum rang uchhalen to pakaen wo siwayyan

    ranjida paDosi jo uTha dar-e-jahan se

    KHushiyon ka guzar hoga na phir tere makan se

    Source:

    Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 208)

    • Author: Saghar Khayyami
      • Edition: 2012
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd.
      • Year of Publication: 2012

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now