Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab bhi tujhe dekha kisi bohran mein dekha

Zia-ul-Haq Qasmi

jab bhi tujhe dekha kisi bohran mein dekha

Zia-ul-Haq Qasmi

MORE BYZia-ul-Haq Qasmi

    jab bhī tujhe dekhā kisī bohrān meñ dekhā

    nisyān meñ dekhā kabhī hizyān meñ dekhā

    gobhī bhī hai gar phuul to bas itnā batā de

    collar meñ kabhī kabhī gul-dān meñ dekhā

    aisā na ho babban ko koī chiil uchak le

    nañgā use dekhā kabhī banyān meñ dekhā

    biivī ne dabā rakkhā hai ab TeTuā shāyad

    maiñ ne jo use hāl-e-pareshān meñ dekhā

    kahte haiñ ki lailā ta.alluq thā arab se

    ye rañg to africa o makrān meñ dekhā

    ras ganne piine ko milā ḳhuub hameñ bhī

    ye fā.eda dekhā hai to yarqān meñ dekhā

    pistol chhupā rakkhā thā patlūn meñ maiñ ne

    custam ke sipāhī ne jo sāmān meñ dekhā

    vo chor thā āshiq-e-dil-gīr kisī

    dīvār pe chaḌhte jise dālān meñ dekhā

    jab bhi tujhe dekha kisi bohran mein dekha

    nisyan mein dekha kabhi hizyan mein dekha

    gobhi bhi hai gar phul to bas itna bata de

    collar mein kabhi ya kabhi gul-dan mein dekha

    aisa na ho babban ko koi chil uchak le

    nanga use dekha kabhi banyan mein dekha

    biwi ne daba rakkha hai ab TeTua shayad

    main ne jo use haal-e-pareshan mein dekha

    kahte hain ki laila ka talluq tha arab se

    ye rang to africa o makran mein dekha

    ras ganne ka pine ko mila KHub hamein bhi

    ye faeda dekha hai to yarqan mein dekha

    pistol chhupa rakkha tha patlun mein main ne

    custam ke sipahi ne jo saman mein dekha

    wo chor tha ya aashiq-e-dil-gir kisi ka

    diwar pe chaDhte jise dalan mein dekha

    Source:

    Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 50)

    • Author: Hassan Abbasi
      • Edition: 2004
      • Publisher: Nastaleeq Matbuaat
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now