Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab dobara kisi aashiq ka janam hota hai

Zareef Lakhnavi

jab dobara kisi aashiq ka janam hota hai

Zareef Lakhnavi

MORE BYZareef Lakhnavi

    jab dobāra kisī āshiq janm hotā hai

    ik vafādār sag-e-kū-e-sanam hotā hai

    taan aur taal tashrīh muġhannī jaane

    jis ko khā lete haiñ ushshāq vo sam hotā hai

    terā āshiq hai magar zabt ulTī tasvīr

    chīḳh uThtā hai kabhī dard jo kam hotā hai

    tiin harf us pe jo karte nahīñ itnī baat

    kaaf re miim ke malne se karam hotā hai

    be-tukī ḳhat meñ uḌāte haiñ hasīnān-e-firañġh

    haath meñ un ke jahāñ par qalam hotā hai

    jo dikhāte haiñ rah-e-ishq meñ sābit-qadamī

    aise ushshāq ke pairoñ meñ varam hotā hai

    mujh ko ma.alūm nahīñ dard hai kyā shai hai

    kuchh mire dil meñ tire sar qasam hotā hai

    jab dobara kisi aashiq ka janm hota hai

    ek wafadar sag-e-ku-e-sanam hota hai

    tan aur tal ki tashrih mughanni jaane

    jis ko kha lete hain ushshaq wo sam hota hai

    tera aashiq hai magar zabt ki ulTi taswir

    chiKH uThta hai kabhi dard jo kam hota hai

    tin harf us pe jo karte nahin itni si baat

    kaf re mim ke malne se karam hota hai

    be-tuki KHat mein uDate hain hasinan-e-firangh

    hath mein un ke jahan par ka qalam hota hai

    jo dikhate hain rah-e-ishq mein sabit-qadami

    aise ushshaq ke pairon mein waram hota hai

    mujh ko malum nahin dard hai ya kya shai hai

    kuchh mere dil mein tere sar ki qasam hota hai

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Zareef (Pg. 42)

      • Edition: 1984
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now