Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo KHuda ko apne maine kisi waqt bhi pukara

Shauq Bahraichi

jo KHuda ko apne maine kisi waqt bhi pukara

Shauq Bahraichi

MORE BYShauq Bahraichi

    jo ḳhudā ko apne maiñ ne kisī vaqt bhī pukārā

    to kisī kyā hai sājhā to kisī kyā ijārā

    mujhe zaḳhmī karte karte huā zaḳhmī aap zālim

    baḌī mushkiloñ se maiñ ne abhī maarā hai phaTārā

    hai ḳhudā ke zikr meñ bhī tujhe is qadar takalluf

    ye umūr-e-ḳhair meñ bhī are vaa.iz istiḳhārā

    koī bāni-e-jafā hai koī bānī-e-vafā hai

    mazā dekhnā hai kyā ho hai muqābla karārā

    zarā ik jhalak idhar bhī zarā ik jhalak udhar bhī

    rahe ta-ba-hashr qaa.em tire husn idāra

    baḌe hausle the pahle baḌe valvale the pahle

    jo amal vaqt aayā hue aap nau-do-gyārā

    thī hamārī jitnī daulat use luuT le ga.e but

    ye batā rahe haiñ ham ko vo dikhā ke goshvārā

    ye na.ī na.ī jafā.eñ ye na.e na.e mazālim

    jo ḳhalish hai vo doshīza jo laqab hai vo kañvārā

    ye chaman pe chhā gayā hai mire maalī talavvun

    ki badal rahā hai cholā shab o roz ab nazārā

    abhī kūche kūche baaqī asar-darindagī hai

    ki zamāna kar rahā hai abhī ḳhuun ġharārā

    tirī dil-shikan nazar ne kiyā past hausloñ ko

    lagā ḳhuun thūkne vo jo zarā bhī khañkārā

    bhalā 'shauq' dekhūñ kyūñkar ruḳh-e-pur-shikan manzar

    mire daañt kahāñ haiñ jo maiñ khā sakūñ chhuārā

    jo KHuda ko apne main ne kisi waqt bhi pukara

    to kisi ka kya hai sajha to kisi ka kya ijara

    mujhe zaKHmi karte karte hua zaKHmi aap zalim

    baDi mushkilon se main ne abhi mara hai phaTara

    hai KHuda ke zikr mein bhi tujhe is qadar takalluf

    ye umur-e-KHair mein bhi are waiz istiKHara

    koi bani-e-jafa hai koi bani-e-wafa hai

    maza dekhna hai kya ho hai muqabla karara

    zara ek jhalak idhar bhi zara ek jhalak udhar bhi

    rahe ta-ba-hashr qaem tere husn ka idara

    baDe hausle the pahle baDe walwale the pahle

    jo amal ka waqt aaya hue aap nau-do-gyara

    thi hamari jitni daulat use luT le gae but

    ye bata rahe hain hum ko wo dikha ke goshwara

    ye nai nai jafaen ye nae nae mazalim

    jo KHalish hai wo doshiza jo laqab hai wo kanwara

    ye chaman pe chha gaya hai mere mali ka talawwun

    ki badal raha hai chola shab o roz ab nazara

    abhi kuche kuche baqi asar-darindagi hai

    ki zamana kar raha hai abhi KHun ka gharara

    teri dil-shikan nazar ne kiya past hauslon ko

    laga KHun thukne wo jo zara sa bhi khankara

    bhala 'shauq' dekhun kyunkar ruKH-e-pur-shikan ka manzar

    mere dant hi kahan hain jo main kha sakun chhuara

    Source:

    intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 85)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now