aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Johnny-Walker ne kaha

Raja Mehdi Ali Khan

Johnny-Walker ne kaha

Raja Mehdi Ali Khan

MORE BYRaja Mehdi Ali Khan

    sau baar ye dil jab tak reject nahīñ hogā

    ye terī mohabbat meñ perfect nahīñ hogā

    haiñ kitne hasīñ tauba āñkhoñ ke ye ā.īne

    kyā aks mirā in meñ reflect nahīñ hogā

    tum set pe jo muskā diiñ maiñ set pe huā nervous

    ab kaam koī mujh se perfect nahīñ hogā

    ulfat kyā sharteñ haiñ advance meñ dil le

    mat soch ki ulfat contract nahīñ hogā

    jo kuchh tire baare meñ villain se sunā maiñ ne

    ai jān-e-adā hargiz vo fact nahīñ hogā

    zālim tirī nazroñ ne jo hañs ke girāyā hai

    ḳhema vo mere dil erect nahīñ hogā

    ġhairoñ se bhī milvā.eñ aur ḳhud bhī mileñ tum se

    tum kuchh bhī kaho ham se ye act nahīñ hogā

    jo kuchh hameñ kahnā hai kah deñge ghumā kar ham

    ulfat koī fiqra direct nahīñ hogā

    chhup-chhup ke jo milne tum Time na.iiñ detīñ

    yuuñ ishq mirā tum par reflect nahīñ hogā

    chun lo ajī tum kuchh bhī mauzū-e-suḳhan lekin

    vo mere raqīboñ subject nahīñ hogā

    bhauñroñ ko gulistāñ meñ kaliyoñ ne haiñ dateñ

    kyā merī taraf ye dil attract nahīñ hogā

    dil de do hameñ vāpas ham ghar ko chale jaa.eñ

    tum par mirī bātoñ effect nahīñ hogā

    sau bar ye dil jab tak reject nahin hoga

    ye teri mohabbat mein perfect nahin hoga

    hain kitne hasin tauba aankhon ke ye aaine

    kya aks mera in mein reflect nahin hoga

    tum set pe jo muska din main set pe hua nerwous

    ab kaam koi mujh se perfect nahin hoga

    ulfat ki kya sharten hain adwance mein dil le ja

    mat soch ki ulfat ka contract nahin hoga

    jo kuchh tere bare mein willain se suna main ne

    ai jaan-e-ada hargiz wo fact nahin hoga

    zalim teri nazron ne jo hans ke giraya hai

    KHema wo mere dil ka erect nahin hoga

    ghairon se bhi milwaen aur KHud bhi milen tum se

    tum kuchh bhi kaho hum se ye act nahin hoga

    jo kuchh hamein kahna hai kah denge ghuma kar hum

    ulfat ka koi fiqra direct nahin hoga

    chhup-chhup ke jo milne ka tum Time nain detin

    yun ishq mera tum par reflect nahin hoga

    chun lo aji tum kuchh bhi mauzu-e-suKHan lekin

    wo mere raqibon ka subject nahin hoga

    bhaunron ko gulistan mein kaliyon ne hain di daten

    kya meri taraf ye dil attract nahin hoga

    dil de do hamein wapas hum ghar ko chale jaen

    tum par meri baaton ka effect nahin hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now