kitni hasin hai sham chalo shairi karen
kitnī hasīñ hai shaam chalo shā'irī kareñ
chhoḌo ye tām-jhām chalo shā'irī kareñ
is shuġhl meñ na vaqt na mausam kī shart hai
ho sub.h yā ki shaam chalo shā'irī kareñ
marhūm shā'iroñ kā jo mil jaa.e kuchh kalām
sarqe kā le ke jaam chalo shā'irī kareñ
apnā bhī kuchh kalām ho auroñ ke maal meñ
do chaar das gram chalo shā'irī kareñ
sasurāl meñ bhī daal kā galnā muhāl hai
saale haiñ be-lagām chalo shā'irī kareñ
ḳhālī hai jeb ghar meñ bhī khāne ko kuchh nahīñ
aayā hai vo maqām chalo shā'irī kareñ
kāġhaz bhī hai qalam bhī hai huqqa chilam bhī hai
puurā hai intizām chalo shā'irī kareñ
kitni hasin hai sham chalo sha'iri karen
chhoDo ye tam-jham chalo sha'iri karen
is shughl mein na waqt na mausam ki shart hai
ho subh ya ki sham chalo sha'iri karen
marhum sha'iron ka jo mil jae kuchh kalam
sarqe ka le ke jam chalo sha'iri karen
apna bhi kuchh kalam ho auron ke mal mein
do chaar das gram chalo sha'iri karen
sasural mein bhi dal ka galna muhaal hai
sale hain be-lagam chalo sha'iri karen
KHali hai jeb ghar mein bhi khane ko kuchh nahin
aaya hai wo maqam chalo sha'iri karen
kaghaz bhi hai qalam bhi hai huqqa chilam bhi hai
pura hai intizam chalo sha'iri karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.