Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kya hai arz karna ye arz phir karunga

Ameerul Islam Hashmi

kya kya hai arz karna ye arz phir karunga

Ameerul Islam Hashmi

MORE BYAmeerul Islam Hashmi

    kyā kiyā hai arz karnā ye arz phir karūñgā

    phir arz kyā karūñgā ye arz phir karūñgā

    jab tak rahegā rassa rassa-kashī rahegī

    kab tak rahegā rassa ye arz phir karūñgā

    mullā ne kyā kiyā thā mullā ne kyā kiyā hai

    mullā karegā kyā kyā ye arz phir karūñgā

    rishvat jo roknā hai jaa.ez use karā lo

    ye jā.eza hai kis ye arz phir karūñgā

    ta.avīz to diyā thā laḌke pīr-jī ne

    ta.avīz ne diyā kyā ye arz phir karūñgā

    chhoḌā hai jab se parda mardā ga.ī hai aurat

    radd-o-badal hai kyā kyā ye arz phir karūñgā

    laḌkī classici thī laḌkā classical thā

    ab kis class thā ye arz phir karūñgā

    laḌkī ne bhī qubūlā laḌke ne bhī qubūlā

    donoñ ne kyā qubūlā ye arz phir karūñgā

    arqunnisā nusḳha mehrunnisā ne likhā

    nusḳhe meñ kyā likhā thā ye arz phir karūñgā

    ahl-e-nazar ko shak hai surma nahīñ lagātā

    ye 'hāshmī' hai kaisā ye arz phir karūñgā

    kya kiya hai arz karna ye arz phir karunga

    phir arz kya karunga ye arz phir karunga

    jab tak rahega rassa rassa-kashi rahegi

    kab tak rahega rassa ye arz phir karunga

    mulla ne kya kiya tha mulla ne kya kiya hai

    mulla karega kya kya ye arz phir karunga

    rishwat jo rokna hai jaez use kara lo

    ye jaeza hai kis ka ye arz phir karunga

    tawiz to diya tha laDke ka pir-ji ne

    tawiz ne diya kya ye arz phir karunga

    chhoDa hai jab se parda marda gai hai aurat

    radd-o-badal hai kya kya ye arz phir karunga

    laDki classici thi laDka classical ka tha

    ab kis class ka tha ye arz phir karunga

    laDki ne bhi qubula laDke ne bhi qubula

    donon ne kya qubula ye arz phir karunga

    arqunnisa ka nusKHa mehrunnisa ne likha

    nusKHe mein kya likha tha ye arz phir karunga

    ahl-e-nazar ko shak hai surma nahin lagata

    ye 'hashmi' hai kaisa ye arz phir karunga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now