Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera intiKHabi manshur

Syed Zameer Jafri

mera intiKHabi manshur

Syed Zameer Jafri

MORE BYSyed Zameer Jafri

    ḳhushā ai votaro lo maiñ bhī ik manshūr laayā huuñ

    tamannāoñ bhūrī bairiyoñ par bor laayā huuñ

    maiñ apnī ḳhud-kashīda bhaap par āzād laḌtā huuñ

    akelā saare ustādoñ se be-ustād laḌtā huuñ

    raqīboñ ko bharosā hogā apne kārnāmoñ par

    mujhe hai faḳhr apne māhir-e-fan ḳhān-sāmoñ par

    har ik dil-band hājat-mand ko ḳhursand kar dūñgā

    galī kūche gandī nāliyoñ ko band kar dūñgā

    ''bajaT'' maiñ kam se kam rakkhūñgā ḳharcha kār-ḳhānoñ

    magar thamne na dūñgā ġhalġhala filmī tarānoñ

    mirī jān-e-hazīñ bār-e-ġham halkā nahīñ hogā!

    ki jab tak har galī ke moḌ par niklā nahīñ hogā

    na.e uslūb se juz-bandi-e-kār-e-jahāñ hogī

    mire sab votaroñ ke ghar meñ ''ratoin'' dukāñ hogī

    guzishta do sadī se saḳht ''texa.e'' ga.e ho tum

    ab āsā.ish jānib gher kar laa.e ga.e ho tum

    karūñgā aur bhī patlī qabā.eñ nāznīnoñ

    madāris meñ raheñgī chhuTTiyāñ baara mahīnoñ

    classeñ na jab hoñgī to vo kis ko paḌhā.egā

    hamāre daur meñ teacher faqat tanḳhvāh pā.egā

    rivāyāt-e-kasād-o-kāhilī chamkā.ī jā.eñgī!

    javāñ-mardoñ zulfeñ paañv tak laTkā.ī jā.eñgī

    havālāteñ to kuchh hoñgī magar ''thāne'' nahīñ hoñge

    pareshānī ke uupar ye ''pareshāne'' nahīñ hoñge

    ye khaa.e roTiyāñ merī vo noche boTiyāñ merī

    chaman meñ har taraf uḌtī huī lañgoTiyāñ merī

    KHusha ai wotaro lo main bhi ek manshur laya hun

    tamannaon ki bhuri bairiyon par bor laya hun

    main apni KHud-kashida bhap par aazad laDta hun

    akela sare ustadon se be-ustad laDta hun

    raqibon ko bharosa hoga apne karnamon par

    mujhe hai faKHr apne mahir-e-fan KHan-samon par

    har ek dil-band hajat-mand ko KHursand kar dunga

    gali kuche ki gandi naliyon ko band kar dunga

    bajaT main kam se kam rakkhunga KHarcha kar-KHanon ka

    magar thamne na dunga ghalghala filmi taranon ka

    meri jaan-e-hazin ka bar-e-gham halka nahin hoga!

    ki jab tak har gali ke moD par nikla nahin hoga

    nae uslub se juz-bandi-e-kar-e-jahan hogi

    mere sab wotaron ke ghar mein ratoin ki dukan hogi

    guzishta do sadi se saKHt texae gae ho tum

    ab aasaish ki jaanib gher kar lae gae ho tum

    karunga aur bhi patli qabaen nazninon ki

    madaris mein rahengi chhuTTiyan bara mahinon ki

    classen hi na jab hongi to wo kis ko paDhaega

    hamare daur mein teacher faqat tanKHwah paega

    riwayat-e-kasad-o-kahili chamkai jaengi!

    jawan-mardon ki zulfen panw tak laTkai jaengi

    hawalaten to kuchh hongi magar thane nahin honge

    pareshani ke upar ye pareshane nahin honge

    ye khae roTiyan meri wo noche boTiyan meri

    chaman mein har taraf uDti hui langoTiyan meri

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now