Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na wo bulbul mein rakkhi hai na parwane mein rakkhi hai

Machis Lakhnavi

na wo bulbul mein rakkhi hai na parwane mein rakkhi hai

Machis Lakhnavi

MORE BYMachis Lakhnavi

    na vo bulbul meñ rakkhī hai na parvāne meñ rakkhī hai

    jo us ne ātish-e-ishq apne dīvāne meñ rakkhī hai

    mire par us ko sau durre na kahiye phir to kyā kahiye

    tire āshiq mayyat doctor-ḳhāne meñ rakkhī hai

    harām us hai ik manzil halāl us hai ik manzil

    na jaane kyā sifat añgūr ke daane meñ rakkhī hai

    tajāhul dekhiye vaa.iz farmāte haiñ rindoñ se

    ye kyā shai sāmne saaqī ke paimāne meñ rakkhī hai

    zarā dekho to is pīr-e-muġhāñ dūr-bīnī ko

    mañgā kar shaiḳh tasvīr maiḳhāne meñ rakkhī hai

    lagī kuchh huuñs aisī shaiḳh bechāre sehhat par

    ki ab to aa.e din Dolī davā-ḳhāne meñ rakkhī hai

    mohalla ḳhush na un ke baap maañ ḳhush aur na darbāñ ḳhush

    kisī din mār-pīT ab un ke ghar jaane meñ rakkhī hai

    na bāloñ meñ syāhī hai na muñh meñ daañt vaa.iz ke

    kasar ab kaun mulk-e-adam jaane meñ rakkhī hai

    na wo bulbul mein rakkhi hai na parwane mein rakkhi hai

    jo us ne aatish-e-ishq apne diwane mein rakkhi hai

    mere par us ko sau durre na kahiye phir to kya kahiye

    tere aashiq ki mayyat doctor-KHane mein rakkhi hai

    haram us ki hai ek manzil halal us ki hai ek manzil

    na jaane kya sifat angur ke dane mein rakkhi hai

    tajahul dekhiye waiz ka farmate hain rindon se

    ye kya shai samne saqi ke paimane mein rakkhi hai

    zara dekho to is pir-e-mughan ki dur-bini ko

    manga kar shaiKH ki taswir maiKHane mein rakkhi hai

    lagi kuchh huns aisi shaiKH bechaare ki sehhat par

    ki ab to aae din Doli dawa-KHane mein rakkhi hai

    mohalla KHush na un ke bap man KHush aur na darban KHush

    kisi din mar-piT ab un ke ghar jaane mein rakkhi hai

    na baalon mein syahi hai na munh mein dant waiz ke

    kasar ab kaun si mulk-e-adam jaane mein rakkhi hai

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Machis Lakhnawi (Pg. ebook-39 page-40)

      • Edition: 2004
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now