Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazr-ahmad-faraaz

T N Raaz

nazr-ahmad-faraaz

T N Raaz

MORE BYT N Raaz

    phir rasm zamāne nibhāne ke liye aa

    mil kar ke gale iid manāne ke liye aa

    sur taal na.e phir se milāne ke liye aa

    Dholak pe zarā thaap lagāne ke liye aa

    jo zaḳhm judā.ī ke diye un pe mirī jaañ

    sastā marham lagāne ke liye aa

    pilloñ ne tire naak meñ dam merī kiyā hai

    botal sahī duudh pilāne ke liye aa

    bin tere kahāñ ḳhatm ho rishvat kamā.ī

    gul-chharre mire saath uḌāne ke liye aa

    bikhrī hai tirī zulf har chiiz ghar par

    ik ik ko Thikāne se sajāne ke liye aa

    sīdhā na kahīñ kar de hameñ be-jā akaḌ ye

    ḳhud jhukne ko aur mujh ko jhukāne ke liye aa

    ne bhī mire hijr meñ jo sher kahe haiñ

    be-ḳhauf phaTe sar meñ sunāne ke liye aa

    maqtā hai 'rāz' is taaza ġhazal

    is baar jo aa.e to na jaane ke liye aa

    phir rasm zamane ki nibhane ke liye aa

    mil kar ke gale id manane ke liye aa

    sur tal nae phir se milane ke liye aa

    Dholak pe zara thap lagane ke liye aa

    jo zaKHm judai ke diye un pe meri jaan

    sasta sa hi marham tu lagane ke liye aa

    pillon ne tere nak mein dam meri kiya hai

    botal ka sahi dudh pilane ke liye aa

    bin tere kahan KHatm ho rishwat ki kamai

    gul-chharre mere sath uDane ke liye aa

    bikhri hai teri zulf si har chiz hi ghar par

    ek ek ko Thikane se sajaane ke liye aa

    sidha na kahin kar de hamein be-ja akaD ye

    KHud jhukne ko aur mujh ko jhukane ke liye aa

    tu ne bhi mere hijr mein jo sher kahe hain

    be-KHauf phaTe sar mein sunane ke liye aa

    maqta hai tu hi 'raaz' ki is taza ghazal ka

    is bar jo aae to na jaane ke liye aa

    Source:

    Ghalib aur Durgat (3rt Edition) (Pg. 185)

    • Author: T.N. Raz
      • Edition: 2016
      • Publisher: Arshia Publications
      • Year of Publication: 2016

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now