Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

purane jute

Ghulam Ahmad Farid

purane jute

Ghulam Ahmad Farid

MORE BYGhulam Ahmad Farid

    gardish-e-aflāk ke maare hue juute tamām

    ik saḌak ke moḌ par rakkhe the bā-sad-ehtimām

    un pe TuuTe paḌ rahe the muflisān-e-ḳhās-o-ām

    maiñ ne bhī gardan baḌhā ke pūchhe un meñ ik ke daam

    bolā muddat-bād in jūtoñ ab uTThā hai paal

    aur in jūtoñ meñ har juutā hai aap apnī misāl

    ek juutā un meñ thā jo tajraboñ shāhkār

    aur kisī bhāge hue añgrez thī yādgār

    bolā maiñ is des meñ chaltā rahā huuñ bār-bār

    hindū aur muslim haiñ ab tak mere afsūñ shikār

    painT vāloñ meñ abhī tak merī vaq.at hai vahī

    qadar-e-gauhar-shāh dānad ba-dāna-jauhrī

    un meñ ik tagḌā juutā ek D.s.p thā

    umr bhar jo be-gunāhoñ ke saroñ par thā chalā

    kitnī kitnī rishvateñ sāhab ko thā khilvā chukā

    jism go be jaan thā lekin tale thā kaḌā

    maiñ ne das aane lagā.e is pe bolā o-saḳhī

    saat pushtoñ ne tirī pahnā thā ye juutā kabhī

    saindil ik barmī paḌī thī us jagah msatānā-vār

    is tarah rakkhī huī thī jaise pattoñ meñ anaar

    ye kisī college laḌkī rahī thī ġham-gusār

    naujavāñ ushshāq ke jazbe the us ke zer-e-bār

    bolā meñ ye aap Thokar meñ haiñ kyā ḳhāl-ḳhāl

    bolī ye haiñ naujavāñ ushshāq chañdiyā ke baal

    shaiḳh ghesū karke ik mochī se pahle sāz-bāz

    umr meñ pahle-pahal masjid ga.e paḌhne namāz

    darmiyāñ meñ toḌ kar ye apnī nīyat hīlā-sāz

    jhaaḌ laa.e ek chappal jo thī be-had dil-navāz

    ye javāñ chappal thī apne haal par vaañ nauha-ḳhvāñ

    aur miyāñ ghesū thī īmān ratb-ul-lisāñ

    gardish-e-aflak ke mare hue jute tamam

    ek saDak ke moD par rakkhe the ba-sad-ehtimam

    un pe TuTe paD rahe the muflisan-e-KHas-o-am

    main ne bhi gardan baDha ke puchhe un mein ek ke dam

    bola muddat-baad in juton ka ab uTTha hai pal

    aur in juton mein har juta hai aap apni misal

    ek juta un mein tha jo tajrabon ka shahkar

    aur kisi bhage hue angrez ki thi yaadgar

    bola main is des mein chalta raha hun bar-bar

    hindu aur muslim hain ab tak mere afsun ka shikar

    painT walon mein abhi tak meri waqat hai wahi

    qadar-e-gauhar-shah danad ya ba-dana-jauhri

    un mein ek tagDa sa juta ek Dsp ka tha

    umr bhar jo be-gunahon ke saron par tha chala

    kitni kitni rishwaten sahab ko tha khilwa chuka

    jism go be jaan tha lekin tale ka tha kaDa

    main ne das aane lagae is pe bola o-saKHi

    sat pushton ne teri pahna tha ye juta kabhi

    saindil ek barmi paDi thi us jagah msatana-war

    is tarah rakkhi hui thi jaise patton mein anar

    ye kisi college ki laDki ki rahi thi gham-gusar

    naujawan ushshaq ke jazbe the us ke zer-e-bar

    bola mein ye aap ki Thokar mein hain kya KHal-KHal

    boli ye hain naujawan ushshaq ki chandiya ke baal

    shaiKH ghesu karke ek mochi se pahle saz-baz

    umr mein pahle-pahal masjid gae paDhne namaz

    darmiyan mein toD kar ye apni niyat hila-saz

    jhaD lae ek chappal jo thi be-had dil-nawaz

    ye jawan chappal thi apne haal par wan nauha-KHwan

    aur miyan ghesu ki thi iman ki ratb-ul-lisan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now