Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qimti kitab

Ahmad Alvi

qimti kitab

Ahmad Alvi

MORE BYAhmad Alvi

    ek din biivī ne farmāyā tumhārī har kitāb

    fāltū sāmān hai kuuḌā hai raddī hai janāb

    āj-kal mahñgā.ī se maiñ kis qadar bad-hāl huuñ

    tum ijāzat do agar raddī meñ in ko biich duuñ

    dafn in meñ ilm-o-fan ke haiñ hazāroñ māhtāb

    maiñ ne biivī se kahā nāyāb hai har ik kitāb

    dekh ye dīvān-e-ġhālib aap hai apnī misāl

    is ik ik sher hai urdu adab meñ lā-zavāl

    dekh 'hālī' musaddas nahīñ koī javāb

    ye bhī hai urdu adab meñ ek bā-maqsad kitāb

    aur ye bāñg-e-darā 'iqbāl' pahchān hai

    kyā ḳhabar tujh ko ye urdu shā.irī shaan hai

    inqilābī ishqīya nazmoñ kulliyāt hai

    'josh' urdu adab ko qīmtī sauġhāt hai

    aur ye hai 'talḳhiyāñ' 'sāhir' lā-fānī kalām

    us se zinda rahegā hashr tak 'sāhir' naam

    ye ikaa.ī aur aamad haiñ kitābeñ 'badr'

    nāqidoñ ne in kitāboñ se un qadr

    aag dariyā hai ye ye 'gardish-e-rañg-e-chaman'

    in kutub se hai ayaañ urdu adab bāñkpan

    umr bhar hai kamā.ī besh-o-kam 'shahbāz'

    dekh ye haiñ chhe kitābeñ mohtaram 'shahbāz'

    dekh ye 'fārūq' bhaa.ī kitābeñ be-shumār

    nasr bhī hai mustanad aur nazm bhī hai bā-vaqār

    dekh tālib kitābeñ pahlā patthar silsila

    lafz-e-sāda meñ chhupā hai zindagī falsafa

    ek din biwi ne farmaya tumhaari har kitab

    faltu saman hai kuDa hai raddi hai janab

    aaj-kal mahngai se main kis qadar bad-haal hun

    tum ijazat do agar raddi mein in ko bich dun

    dafn in mein ilm-o-fan ke hain hazaron mahtab

    main ne biwi se kaha nayab hai har ek kitab

    dekh ye diwan-e-ghaalib aap hai apni misal

    is ka ek ek sher hai urdu adab mein la-zawal

    dekh 'haali' ki musaddas ka nahin koi jawab

    ye bhi hai urdu adab mein ek ba-maqsad kitab

    aur ye bang-e-dara 'iqbaal' ki pahchan hai

    kya KHabar tujh ko ye urdu shairi ki shan hai

    inqilabi ishqiya nazmon ki kulliyat hai

    'josh' ki urdu adab ko qimti saughat hai

    aur ye hai 'talKHiyan' 'sahir' ka la-fani kalam

    us se hi zinda rahega hashr tak 'sahir' ka nam

    ye ikai aur aamad hain kitaben 'badr' ki

    naqidon ne in kitabon se hi un ki qadr ki

    aag ka dariya hai ye ye 'gardish-e-rang-e-chaman'

    in kutub se hai ayan urdu adab ka bankpan

    umr bhar ki hai kamai besh-o-kam 'shahbaz' ki

    dekh ye hain chhe kitaben mohtaram 'shahbaz' ki

    dekh ye 'faruq' bhai ki kitaben be-shumar

    nasr bhi hai mustanad aur nazm bhi hai ba-waqar

    dekh talib ki kitaben pahla patthar silsila

    lafz-e-sada mein chhupa hai zindagi ka falsafa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now