saqi-nama
purānī 'azmat o shaukat se ḳhālī jaam hai saaqī
har ik koshish hamārī ab barā.e-nām hai saaqī
vo derīna shujā'at kī kahāñ bū-bās hai ham haiñ
faqat īrānī tūrānī va Tīm-o-Tām hai saaqī
kabhī manzil pe manzil tai kiyā karte the himmat se
magar ab dil ke engine kā hī chakkā jaam hai saaqī
faqīr-e-rāh ko baḳhshe ga.e asrār-e-sultānī
magar sultāna Daaku hai koī bahrām hai saaqī
na uTThā phir koī ġhāzī hamāre lāla-zāroñ se
ki in meñ buzdilī kā zikr sub.h-o-shām hai saaqī
bajā.e nā’ra-e-allāhu-akbar ke jidhar dekho
zabāñ sākit hai aur dil meñ machā kohrām hai saaqī
jahāñ se ibtidā kī thī bahut nīche chale aa.e
'ajab āġhāz thā apnā 'ajab anjām hai saaqī
maiñ shā'ir huuñ mujhe piine se nafrat ho nahīñ saktī
ki ye to pairvī-e-sunnat-e-ḳhayyām hai saaqī
bahut māyūs hai 'asrār' apne rahnumāoñ se
ki ab millat-faroshī hī bas un kā kaam hai saaqī
purani 'azmat o shaukat se KHali jam hai saqi
har ek koshish hamari ab barae-nam hai saqi
wo derina shuja'at ki kahan bu-bas hai hum hain
faqat irani turani wa Tim-o-Tam hai saqi
kabhi manzil pe manzil tai kiya karte the himmat se
magar ab dil ke engine ka hi chakka jam hai saqi
faqir-e-rah ko baKHshe gae asrar-e-sultani
magar sultana Daku hai koi bahram hai saqi
na uTTha phir koi ghazi hamare lala-zaron se
ki in mein buzdili ka zikr subh-o-sham hai saqi
bajae na’ra-e-allahu-akbar ke jidhar dekho
zaban sakit hai aur dil mein macha kohram hai saqi
jahan se ibtida ki thi bahut niche chale aae
'ajab aaghaz tha apna 'ajab anjam hai saqi
main sha'ir hun mujhe pine se nafrat ho nahin sakti
ki ye to pairwi-e-sunnat-e-KHayyam hai saqi
bahut mayus hai 'asrar' apne rahnumaon se
ki ab millat-faroshi hi bas un ka kaam hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.