sar-dard mein goli ye baDi zud-asar hai

Anwar Masood

sar-dard mein goli ye baDi zud-asar hai

Anwar Masood

MORE BYAnwar Masood

  sar-dard meñ golī ye baḌī zūd-asar hai

  par thoḌā nuqsān bhī ho saktā hai is se

  ho saktī hai paidā koī tabḳhīr sūrat

  dil tañg o pareshān bhī ho saktā hai is se

  ho saktī hai kuchh saql-e-samā.at shikāyat

  be-kār koī kaan bhī ho saktā hai is se

  mumkin hai ḳharābī koī ho jaa.e jigar meñ

  haañ aap ko yarqān bhī ho saktā hai is se

  paḌ saktī hai kuchh jild-ḳharāshī zarūrat

  ḳhārish kuchh imkān bhī ho saktā hai is se

  ho saktī haiñ yādeñ bhī zarā is se muta.assir

  ma.amūlī nisyān bhī ho saktā hai is se

  ho saktā hai lāhaq koī pechīda maraz bhī

  gurda koī vīrān bhī ho saktā hai is se

  mumkin hai ki ho jaa.e nasha is se ziyāda

  phir aap chālān bhī ho saktā hai is se

  sar-dard mein goli ye baDi zud-asar hai

  par thoDa sa nuqsan bhi ho sakta hai is se

  ho sakti hai paida koi tabKHir ki surat

  dil tang o pareshan bhi ho sakta hai is se

  ho sakti hai kuchh saql-e-samaat ki shikayat

  be-kar koi kan bhi ho sakta hai is se

  mumkin hai KHarabi koi ho jae jigar mein

  han aap ko yarqan bhi ho sakta hai is se

  paD sakti hai kuchh jild-KHarashi ki zarurat

  KHarish ka kuchh imkan bhi ho sakta hai is se

  ho sakti hain yaaden bhi zara is se mutassir

  mamuli sa nisyan bhi ho sakta hai is se

  ho sakta hai lahaq koi pechida maraz bhi

  gurda koi viran bhi ho sakta hai is se

  mumkin hai ki ho jae nasha is se ziyaada

  phir aap ka chaalan bhi ho sakta hai is se

  RECITATIONS

  Anwar Masood

  Anwar Masood

  Anwar Masood

  sar-dard mein goli ye baDi zud-asar hai Anwar Masood

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY