Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shauhar-nama

Hammad Hasan

shauhar-nama

Hammad Hasan

MORE BYHammad Hasan

    shauhar-jī uTho ghar se niklo shādī sog manānā kyā

    jo honā thā vo ho ke rahā ab dil ko aur jalānā kyā

    biivī zabān-darāzī se jhunjhlāte ho ghabrāte ho

    jab shādī kar baiThe ho to phir ab shor machānā kyā

    sab dostoñ ke uksāne par uTTho to sahī niklo to sahī

    jab urdu film dekhnī hai to shabnam kyā aur shabāna kyā

    chalo coat saarī jeboñ meñ DhūñDo to sahī dekho to sahī

    ik das note mil jaa.e to haath apnā phailānā kyā

    shab biitī chāñd bhī Duub chalā ab paañv dabānā band karo

    uTTho jaldī aaTā gūñdho tumheñ nāshta nahīñ banānā kyā

    shādī ho ga.ī āzādī chhinī zanjīr paḌī ab pairoñ meñ

    miyāñ āñkheñ laḌānā band karo ab hañsnā kyā aur hañsānā kyā

    ab tum shauhar ho had meñ raho aur aañkh maTakkā jaane do

    biivī ke qahr ko na dāvat do tumheñ lauT ke ghar nahīñ jaanā kyā

    lo bhor bha.ī ab uTh baiTho chaa.e paanī rakho kar

    biivī ko agar chaa.e na milī to raat ko khāoge khānā kyā

    shauhar-ji uTho ghar se niklo shadi ka sog manana kya

    jo hona tha wo ho ke raha ab dil ko aur jalana kya

    biwi ki zaban-daraazi se jhunjhlate ho ghabraate ho

    jab shadi kar hi baiThe ho to phir ab shor machana kya

    sab doston ke uksane par uTTho to sahi niklo to sahi

    jab urdu film hi dekhni hai to shabnam kya aur shabana kya

    chalo coat ki sari jebon mein DhunDo to sahi dekho to sahi

    ek das ka note hi mil jae to hath apna phailana kya

    shab biti chand bhi Dub chala ab panw dabana band karo

    uTTho jaldi aaTa gundho tumhein nashta nahin banana kya

    shadi ho gai aazadi chhini zanjir paDi ab pairon mein

    miyan aankhen laDana band karo ab hansna kya aur hansana kya

    ab tum shauhar ho had mein raho aur aankh maTakka jaane do

    biwi ke qahr ko na dawat do tumhein lauT ke ghar nahin jaana kya

    lo bhor bhai ab uTh baiTho chae ka pani rakho ja kar

    biwi ko agar chae na mili to raat ko khaoge khana kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now