Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sher-ashob

Zareef Lakhnavi

sher-ashob

Zareef Lakhnavi

MORE BYZareef Lakhnavi

    tujh meñ ai hindostāñ kuchh āj-kal had se sivā

    chār-sū phailī huī hai shā.erī ik vabā

    is maraz meñ ab to assī fīsadī haiñ mubtalā

    mustanad shā.er hai jis ne ik taḳhallus rakh liyā

    shā.erī go ahd-e-māzī meñ thī pāyān-e-ulūm

    ab taḳhallus meñ simaT kar aa ga.ī jān-e-ulūm

    ai ajā.ib-ḳhāna-e-hastī jins-e-be-bahā

    ahd-e-maujūda ke shā.er vaah kyā kahnā tirā

    terī kasrat har jagah mardum-shumārī se sivā

    farishta hai bashar shakl meñ is ahd

    tujh ko khāne se na kuchh matlab na kuchh piine se kaam

    sher kah kah kar sunāne aur faqat jiine se kaam

    hai bahut taklīf-dah shā.er vo jins-e-ajīb

    jo sunāne ke liye bechain rahtā ho ġharīb

    us ko achchhā kar nahīñ saktā koī kāmil tabīb

    shā.erī jis ko bad-hazmī ho haiza ke qarīb

    chāhtā hai sab sunā duuñ jo kahūñ ik saal meñ

    mubtalā hai shā.erī ke saḳht-tar is.hāl meñ

    nazm kar letā hai sab kuchh itnī āsānī ke saath

    jis tarah bahte haiñ tinke tez-rau paanī ke saath

    jab ki letā nahīñ apne dimāġh o dil se kaam

    sahl se hai tujh ko matlab aur kyā mushkil se kaam

    sab ko qillat vaqt tujh ko farāvānī milī

    sañg ko insān shakl-e-hayūlānī milī

    kasb-e-zar sab ke liye tujh ko ġhazal-ḳhvānī milī

    muft be-gār karne ko suḳhan-dānī milī

    har zarūrat terī ik jhūTā bahāna ban ga.ī

    ma.azarat tak aah uzr-e-shā.irāna ban ga.ī

    kuchh sa.ūbāt-e-safar hote nahīñ maanā tujhe

    sohbat-e-sher-o-suḳhan meñ farz hai jaanā tujhe

    kaam shab bhar jāgnā misre dohrānā tujhe

    har ġhazal daad denā aur chillānā tujhe

    terī shirkat lāzmī har shahr meñ har gaañv meñ

    sar meñ saudā-e-suḳhan aur sanīchar paañv meñ

    dekh terī qadr yuuñ karte haiñ tere qadr-dāñ

    koī melā ho kahīñ par numā.ish nihāñ

    jis meñ circus bhī ho dañggal meñ laḌeñ kuchh pahlvāñ

    yaad kar lete haiñ bhūle se tujhe bhī mehrbāñ

    dete haiñ lālach meDal terī izzat ke liye

    third tujh ko ticket miltā hai shirkat ke liye

    ye bhī jab kaafī zamānat ho ki shā.er aa.egā

    ye kirāya to kahīñ le kar na khā jā.egā

    ek bhartī karne vaalā ḳhud ticket dilvā.egā

    apnī ham-rāhī meñ tujh ko rail par biThlā.egā

    paḌh na le jab tak ġhazal hotī rahegī dekh-bhāl

    ba.ad is ke ek voter aur shā.er ma.aal

    ye bhī hai shā.er ke zimme ik zarūrī aur kaam

    jab ġhazal paḌhne sharīk-e-bazm ho ye nek-nām

    apne jūtoñ kare apnī baġhal meñ intizām

    varna nañge pair ghar aanā paḌegā vassalām

    bazm meñ kuchh qadar-dāñ is qism ke aa jā.eñge

    chhāñT kar aksar na.e juute churā le jā.eñge

    paise vāloñ samajh meñ aa ga.ī hai ab ye baat

    sarf-e-bejā nāch-gāne hai bilkul vāhiyāt

    jab koī jalsa ḳhushī ho kahīñ par ho barāt

    mun.aqid bazm-e-suḳhan hotī hai kaT jaa.e raat

    pahle arbāb-e-nashāt aate the gaane ke liye

    ab to shā.er jaate haiñ ġhazleñ sunāne ke liye

    yād-e-ayyāme ki shā.er ko zabāñ par naaz thā

    quvvat-e-taḳh.īl sarmāya-e-ezāz thā

    lafz meñ soz thā aur lafz meñ saaz thā

    naġhma-e-shā.er rūhul-quds ham-āvāz thā

    ab agar qaabū ho in par to mile shā.er ko daad

    sar-rakhab gandhār maddham panjam aur dhevat-nikhār

    rafta rafta baḌh gayā gar shauq-o-zauq-e-naġhma-sāz

    shā.er ab ā.eñge mahfil meñ pahan kar peshvāz

    ḳhatm is fiqara pe hogī har ġhazal ustād

    suniye maiñ hoñ jānkī-bā.ī allahabad

    namūna sar-ba-sar aḳhlāq o ḳhuddārī thā

    ik safā ā.īna to qudrat-e-bārī thā

    muālij nafs-e-ammāra bīmārī thā

    zarīya mulk aur millat bedārī thā

    kitnī ibrat-ḳhez shai ab ālam-e-hastī meñ hai

    jis ne qaumoñ ko ubhārā thā vahī pastī meñ hai

    pesha-var jitne haiñ in mulk meñ izzat to hai

    kam sahī lekin har ik san.at kuchh qīmat to hai

    har zarūrat par kisī sannā.a hājat to hai

    juz tire har ahl-e-fan kuchh na kuchh ujrat to hai

    qismat-e-barbād terī ban ke uḌ jaatī hai bhaap

    hai sila terā yahī kyā ḳhuub farmāte haiñ aap!

    tujh mein ai hindostan kuchh aaj-kal had se siwa

    chaar-su phaili hui hai shaeri ki ek waba

    is maraz mein ab to assi fisadi hain mubtala

    mustanad shaer hai jis ne ek taKHallus rakh liya

    shaeri go ahd-e-mazi mein thi payan-e-ulum

    ab taKHallus mein simaT kar aa gai jaan-e-ulum

    ai ajaib-KHana-e-hasti ki jins-e-be-baha

    ahd-e-maujuda ke shaer wah kya kahna tera

    teri kasrat har jagah mardum-shumari se siwa

    tu farishta hai bashar ki shakl mein is ahd ka

    tujh ko khane se na kuchh matlab na kuchh pine se kaam

    sher kah kah kar sunane aur faqat jine se kaam

    hai bahut taklif-dah shaer ki wo jins-e-ajib

    jo sunane ke liye bechain rahta ho gharib

    us ko achchha kar nahin sakta koi kaamil tabib

    shaeri ki jis ko bad-hazmi ho haiza ke qarib

    chahta hai sab suna dun jo kahun ek sal mein

    mubtala hai shaeri ke saKHt-tar ishaal mein

    nazm kar leta hai sab kuchh itni aasani ke sath

    jis tarah bahte hain tinke tez-rau pani ke sath

    jab ki tu leta nahin apne dimagh o dil se kaam

    sahl se hai tujh ko matlab aur kya mushkil se kaam

    sab ko qillat waqt ki tujh ko farawani mili

    sang ko insan ki shakl-e-hayulani mili

    kasb-e-zar sab ke liye tujh ko ghazal-KHwani mili

    muft ki be-gar karne ko suKHan-dani mili

    har zarurat teri ek jhuTa bahana ban gai

    mazarat tak aah uzr-e-shairana ban gai

    kuchh saubaat-e-safar hote nahin mana tujhe

    sohbat-e-sher-o-suKHan mein farz hai jaana tujhe

    kaam shab bhar jagna misre ka dohrana tujhe

    har ghazal ki dad dena aur chillana tujhe

    teri shirkat lazmi har shahr mein har ganw mein

    sar mein sauda-e-suKHan aur sanichar panw mein

    dekh teri qadr yun karte hain tere qadr-dan

    koi mela ho kahin par ya numaish ya nihan

    jis mein circus bhi ho danggal mein laDen kuchh pahlwan

    yaad kar lete hain bhule se tujhe bhi mehrban

    dete hain lalach meDal ka teri izzat ke liye

    third ka tujh ko ticket milta hai shirkat ke liye

    ye bhi jab kafi zamanat ho ki shaer aaega

    ye kiraya to kahin le kar na kha jaega

    ek bharti karne wala KHud ticket dilwaega

    apni ham-rahi mein tujh ko rail par biThlaega

    paDh na le jab tak ghazal hoti rahegi dekh-bhaal

    baad is ke ek woter aur shaer ka maal

    ye bhi hai shaer ke zimme ek zaruri aur kaam

    jab ghazal paDhne sharik-e-bazm ho ye nek-nam

    apne juton ka kare apni baghal mein intizam

    warna nange pair ghar aana paDega wassalam

    bazm mein kuchh qadar-dan is qism ke aa jaenge

    chhanT kar aksar nae jute chura le jaenge

    paise walon ki samajh mein aa gai hai ab ye baat

    sarf-e-beja nach-gane ka hai bilkul wahiyat

    jab koi jalsa KHushi ka ho kahin par ho baraat

    munaqid bazm-e-suKHan hoti hai ta kaT jae raat

    pahle arbab-e-nashat aate the gane ke liye

    ab to shaer jate hain ghazlen sunane ke liye

    yaad-e-ayyame ki shaer ko zaban par naz tha

    quwwat-e-taKHil hi sarmaya-e-ezaz tha

    lafz hi mein soz tha aur lafz hi mein saz tha

    naghma-e-shaer ka ruhul-quds ham-awaz tha

    ab agar qabu ho in par to mile shaer ko dad

    sar-rakhab gandhaar maddham panjam aur dhewat-nikhaar

    rafta rafta baDh gaya gar shauq-o-zauq-e-naghma-saz

    shaer ab aaenge mahfil mein pahan kar peshwaz

    KHatm is fiqara pe hogi har ghazal ustad ki

    suniye main hon jaanki-bai allahabad ki

    tu namuna sar-ba-sar aKHlaq o KHuddari ka tha

    ek safa aaina to qudrat-e-bari ka tha

    tu mualij nafs-e-ammara ki bimari ka tha

    tu zariya mulk aur millat ki bedari ka tha

    kitni ibrat-KHez shai ab aalam-e-hasti mein hai

    jis ne qaumon ko ubhaara tha wahi pasti mein hai

    pesha-war jitne hain in ki mulk mein izzat to hai

    kam sahi lekin har ek sanat ki kuchh qimat to hai

    har zarurat par kisi sannaa ki hajat to hai

    juz tere har ahl-e-fan ki kuchh na kuchh ujrat to hai

    qismat-e-barbaad teri ban ke uD jati hai bhap

    hai sila tera yahi kya KHub farmate hain aap!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now