aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tauba tauba se nadamat ki ghaDi aai hai

Saghar Khayyami

tauba tauba se nadamat ki ghaDi aai hai

Saghar Khayyami

MORE BYSaghar Khayyami

    tauba tauba se nadāmat ghaḌī aa.ī hai

    mai-kade par baḌī ghanghor ghaTā chhā.ī hai

    rañg kuchh itnā mirī vahshat-e-dil laa.ī hai

    majma-e-ām hai aur aap saudā.ī hai

    ashk piitā huuñ to lo dete haiñ chhāle dil ke

    aah kartā huuñ to phir ishq rusvā.ī hai

    lau na dene lageñ jalte hue gul ke ruḳhsār

    āriz-e-gul pe jo shabnam ne jagah paa.ī hai

    maiñ tasavvur hadoñ se bhī guzar jā.ūñgā

    mujh se milne meñ agar aap rusvā.ī hai

    jab bhī uljhā hai sukūt-e-shab-e-ġham se mirā dil

    terī yādoñ ne tabī.at mirī bahlā.ī hai

    shaiḳh-sāhib nasīhat bharī bātoñ ke liye

    kitnā rañgīn javāb aap añgḌā.ī hai

    jab kabhī tark-e-mai-o-jām aayā hai ḳhayāl

    mauj se phir tirī tasvīr ubhar aa.ī hai

    apnī taqdīr pe be-sāḳhta aa.ī hai hañsī

    jab bhī kashtī koī sāhil pe nazar aa.ī hai

    kahkashāñ Daale hai chehre pe rūpahlā āñchal

    chāñdnī paañv tale bichhne chalī aa.ī hai

    kaun kahtā hai bulandī pe nahīñ huuñ 'sāgar'

    merī me.arāj-e-mohabbat mirī rusvā.ī hai

    tauba tauba se nadamat ki ghaDi aai hai

    mai-kade par baDi ghanghor ghaTa chhai hai

    rang kuchh itna meri wahshat-e-dil lai hai

    majma-e-am hai aur aap ka saudai hai

    ashk pita hun to lo dete hain chhaale dil ke

    aah karta hun to phir ishq ki ruswai hai

    lau na dene lagen jalte hue gul ke ruKHsar

    aariz-e-gul pe jo shabnam ne jagah pai hai

    main tasawwur ki hadon se bhi guzar jaunga

    mujh se milne mein agar aap ki ruswai hai

    jab bhi uljha hai sukut-e-shab-e-gham se mera dil

    teri yaadon ne tabiat meri bahlai hai

    shaiKH-sahib ki nasihat bhari baaton ke liye

    kitna rangin jawab aap ki angDai hai

    jab kabhi tark-e-mai-o-jam ka aaya hai KHayal

    mauj se phir teri taswir ubhar aai hai

    apni taqdir pe be-saKHta aai hai hansi

    jab bhi kashti koi sahil pe nazar aai hai

    kahkashan Dale hai chehre pe rupahla aanchal

    chandni panw tale bichhne chali aai hai

    kaun kahta hai bulandi pe nahin hun 'sagar'

    meri mearaj-e-mohabbat meri ruswai hai

    Source:

    Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 361)

    • Author: Saghar Khayyami
      • Edition: 2012
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd.
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now