Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare jamparon par saDiyon par aur ghararon par

Arshad Mir

tumhaare jamparon par saDiyon par aur ghararon par

Arshad Mir

MORE BYArshad Mir

    tumhāre jamparoñ par sāḌiyoñ par aur ġharāroñ par

    luTe jaate haiñ dil vaale ka.ī salma-sitāroñ par

    election ab bhalā kaise laḌeñge ham raqīboñ se

    kamā.ī to uḌā Daalī hai saarī ishtihāroñ par

    phisal kar rah ga.e haiñ nā-gahāñ kele ke chhilke se

    kamandeñ Dālne ghar se chale the chāñd tāroñ par

    burā añgrez ko kahtā huuñ piTtā huuñ clerkoñ se

    gad.he se gir ke ġhussa aa jaatā hai kumhāroñ par

    baḌe karr-o-farr se piiTh par kachhve baiThe haiñ

    yūñhī ham reñgte pahuñcheñge āḳhir kohsāroñ par

    miThā.ī baañT hai dushmanoñ meñ us ne shādī

    magar Tarḳhā diyā hai ham ġharīboñ ko chhohāroñ par

    yahī 'arshad' hamāre nau-javānoñ kahānī hai

    jiye daulat ḳhātir aur mare filmī-sitāroñ par

    tumhaare jamparon par saDiyon par aur ghararon par

    luTe jate hain dil wale kai salma-sitaron par

    election ab bhala kaise laDenge hum raqibon se

    kamai to uDa Dali hai sari ishtihaaron par

    phisal kar rah gae hain na-gahan kele ke chhilke se

    kamanden Dalne ghar se chale the chand taron par

    bura angrez ko kahta hun piTta hun clerkon se

    gadhe se gir ke ghussa aa hi jata hai kumhaaron par

    baDe hi karr-o-farr se piTh par kachhwe ki baiThe hain

    yunhi hum rengte pahunchenge aaKHir kohsaron par

    miThai banT di hai dushmanon mein us ne shadi ki

    magar TarKHa diya hai hum gharibon ko chhohaaron par

    yahi 'arshad' hamare nau-jawanon ki kahani hai

    jiye daulat ki KHatir aur mare filmi-sitaron par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now