Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo aaen ghar pe mere mujhko etibar nahin

Haji Laq Laq

wo aaen ghar pe mere mujhko etibar nahin

Haji Laq Laq

MORE BYHaji Laq Laq

    vo aa.eñ ghar pe mire mujh ko e'tibār nahīñ

    ye merā ghar hai kisī piir mazār nahīñ

    tirā marīz huuñ maiñ doctor ghar na batā

    ye dard-e-ishq hai zālim koī buḳhār nahīñ

    vo aaj suuñt ke nikle haiñ teġh-e-abrū ko

    sitam hai saath koī ambulance-car nahīñ

    ye ḳhaak piinā hai thoḌī ke leT rahe

    jo ke thāne na pahuñchā vo mai-gusār nahīñ

    milāo āñkhoñ se āñkheñ to jaan hāzir hai

    ye naqd-bāzī saudā hai yaañ udhār nahīñ

    vo jaam piite hotā hai ġham ġhalat apnā

    sivā.e Tharre ke koī bhī ġham-gusār nahīñ

    suneñge aap jo 'laq-laq' baat ḳhush hoñge

    janāb-e-man vo middle paas hai gañvār nahīñ

    wo aaen ghar pe mere mujh ko e'tibar nahin

    ye mera ghar hai kisi pir ka mazar nahin

    tera mariz hun main doctor ka ghar na bata

    ye dard-e-ishq hai zalim koi buKHar nahin

    wo aaj sunt ke nikle hain tegh-e-abru ko

    sitam hai sath koi ambulance-car nahin

    ye KHak pina hai thoDi si pi ke leT rahe

    jo pi ke thane na pahuncha wo mai-gusar nahin

    milao aankhon se aankhen to jaan hazir hai

    ye naqd-bazi ka sauda hai yan udhaar nahin

    wo jam pite hi hota hai gham ghalat apna

    siwae Tharre ke koi bhi gham-gusar nahin

    sunenge aap jo 'laq-laq' ki baat KHush honge

    janab-e-man wo middle pas hai ganwar nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now