Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye zulfon ka mahal gumbad-numa malum hota hai

Bulbul Kashmiri

ye zulfon ka mahal gumbad-numa malum hota hai

Bulbul Kashmiri

MORE BYBulbul Kashmiri

    ye zulfoñ mahal gumbad-numā ma.alūm hotā hai

    tire sar par kisī maqbara ma.alūm hotā hai

    mizāj-e-yār mausam tarah fauran badaltā hai

    ye inglistān āb-o-havā ma.alūm hotā hai

    kabhī sūraj nahīñ Duubā tumhāre husn-e-tābāñ

    ye sābiq daulat-e-bartāniya ma.alūm hotā hai

    hamesha merī qismat meñ hai africa tārīkī

    ye terā sāya-e-zulf-e-dotā ma.alūm hotā hai

    tumhāre husn duniyā hai merā dil huā raushan

    adū jal jal ke jaise ko.elā ma.alūm hotā hai

    mirī āñkhoñ se dariyā bah rahe haiñ terī furqat meñ

    aur is paanī meñ bulbul bulbula ma.alūm hotā hai

    ye zulfon ka mahal gumbad-numa malum hota hai

    tere sar par kisi ka maqbara malum hota hai

    mizaj-e-yar mausam ki tarah fauran badalta hai

    ye inglistan ki aab-o-hawa malum hota hai

    kabhi suraj nahin Duba tumhaare husn-e-taban ka

    ye sabiq daulat-e-bartaniya malum hota hai

    hamesha meri qismat mein hai africa ki tariki

    ye tera saya-e-zulf-e-dota malum hota hai

    tumhaare husn ki duniya hai mera dil hua raushan

    adu jal jal ke jaise koela malum hota hai

    meri aankhon se dariya bah rahe hain teri furqat mein

    aur is pani mein bulbul bulbula malum hota hai

    Source:

    Shora-e-London (Pg. 51)

    • Author: Jauhar Zahiri
      • Edition: 1985
      • Publisher: Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now