Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaban kyun ho?

Nazar Barni

zaban kyun ho?

Nazar Barni

MORE BYNazar Barni

    kisī ko de ke ''vote'' apnā navā-sañj-e-fuġhāñ kyuuñ ho?

    jo sar ḳhālī ho ''bheje'' se to phir muñh meñ zabān kyuuñ ho?

    hamāre leaderoñ kāmyābī ye nukta hai!

    ''jo karnā hai'' rakho dil meñ vo public meñ bayāñ kyuuñ ho?

    kahā sayyād ne par noch kar sehn-e-gulistāñ meñ!

    ghuTan ho laakh siine meñ magar āh-o-fuġhāñ kyuuñ ho?

    buḌhāpe meñ bhī kar Daalī hai ne tīsrī shādī

    zarā insāf se kah de vo tujh par mehrbāñ kyuuñ ho?

    ''qafas meñ mujh se rūdād-e-chaman kahte na Dar hamdam''

    chalā hai jis pe ''bulldozer'' vo merā makāñ kyuuñ ho?

    qutub se kuud jā.ūñgā agar marnā Thahrā hai

    ''to phir ai sañg-e-dil terā sañg-e-āstāñ kyuuñ ho?

    vo kahtā hai ki America ko 'lenin' ne basāyā thā

    ho jab ustād jāhil to merā imtihāñ kyuuñ ho?

    'nazar' ne un ko jab dekhā to daddy saath the un ke

    hamāre darmiyāñ har vaqt vo pīr-e-muġhāñ kyuuñ ho?

    kisi ko de ke wote apna nawa-sanj-e-fughan kyun ho?

    jo sar KHali ho bheje se to phir munh mein zaban kyun ho?

    hamare leaderon ki kaamyabi ka ye nukta hai!

    jo karna hai rakho dil mein wo public mein bayan kyun ho?

    kaha sayyaad ne par noch kar sehn-e-gulistan mein!

    ghuTan ho lakh sine mein magar aah-o-fughan kyun ho?

    buDhape mein bhi kar Dali hai tu ne tisri shadi

    zara insaf se kah de wo tujh par mehrban kyun ho?

    qafas mein mujh se rudad-e-chaman kahte na Dar hamdam

    chala hai jis pe bulldozer wo mera hi makan kyun ho?

    qutub se kud jaunga agar marna hi Thahra hai

    to phir ai sang-e-dil tera hi sang-e-astan kyun ho?

    wo kahta hai ki America ko 'lenin' ne basaya tha

    ho jab ustad hi jahil to mera imtihan kyun ho?

    'nazar' ne un ko jab dekha to daddy sath the un ke

    hamare darmiyan har waqt wo pir-e-mughan kyun ho?

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now