Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamana aaya hai be-hijabi ka aam didar-e-yar hoga

Akbar Lahorii

zamana aaya hai be-hijabi ka aam didar-e-yar hoga

Akbar Lahorii

MORE BYAkbar Lahorii

    zamāna aayā hai be-hijābī aam dīdār-e-yār hogā

    bas aur kapḌā na sil sakegā jo tan pe hai tār-tār hogā

    talāsh-e-gandum ko ghar se niklegā qāfila mor-e-nā-tavāñ

    palaT ke aayā to sab ke pahlū meñ ik dil-e-dāġh-dār hogā

    qasā.ī bakre gosht le kar sabhī himāla pe chaḌeñge

    jo un pīchhā karegā ghis-pis ke ek musht ġhubār hogā

    miThā.ī assī ruupe sair aur lāTrī bhī milā karegī

    jo ahd halvā.iyoñ se bāñdhā gayā thā vo ustuvār hogā

    chaḌhe qīmat vo jūtiyoñ na koī un tak pahuñch sakegī

    barahna-pā.ī vahī rahegī magar nayā ḳhār-zār hogā

    kafan qīmat suneñge murde to is ke sadme se uTheñge

    janāza uTThegā ab kisī na ab kisī mazār hogā

    na pūchho 'akbar' kuchh Thikāna abhī vahī kaifiyat hai us

    yahīñ kahīñ chauk meñ khaḌā qīmatoñ shikva-guzār hogā

    zamana aaya hai be-hijabi ka aam didar-e-yar hoga

    bas aur kapDa na sil sakega jo tan pe hai tar-tar hoga

    talash-e-gandum ko ghar se niklega qafila mor-e-na-tawan ka

    palaT ke aaya to sab ke pahlu mein ek dil-e-dagh-dar hoga

    qasai bakre ka gosht le kar sabhi himala pe ja chaDenge

    jo un ka pichha karega ghis-pis ke ek musht ghubar hoga

    miThai assi rupe ki sair aur laTri bhi mila karegi

    jo ahd halwaiyon se bandha gaya tha wo ustuwar hoga

    chaDhe gi qimat wo jutiyon ki na koi un tak pahunch sakegi

    barahna-pai wahi rahegi magar naya KHar-zar hoga

    kafan ki qimat sunenge murde to is ke sadme se ji uThenge

    janaza uTThega ab kisi ka na ab kisi ka mazar hoga

    na puchho 'akbar' ka kuchh Thikana abhi wahi kaifiyat hai us ki

    yahin kahin chauk mein khaDa qimaton ka shikwa-guzar hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now