Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zarurat-e-rishta

Saghar Khayyami

zarurat-e-rishta

Saghar Khayyami

MORE BYSaghar Khayyami

    hamāre laal ko darkār hai vahī laḌkī

    ki jis baap police meñ ho kam se kam deputy

    jo puurī kar sake hasrat hamāre beTe

    papīhā pyaar kahnā hai har ghaḌī pī-pī

    sharāb o raqs se raġhbat juue aadat hai

    ye ġhunda-gardī nahīñ ḳhāndānī shaukat hai

    kamar ḳhamīda hai itnī ki miim lagtā hai

    vo āshiqoñ mohabbat meñ team lagtā hai

    vo ahmaqoñ sabhā meñ fahīm lagtā hai

    ḳhudā ke fazl se aadhā yatīm lagtā hai

    mizāj-e-yār laḌakpan se āshiqāna hai

    ḳhudā shukr hai andhā nahīñ hai kaanā hai

    nahār-muñh ka.ī filmoñ ke naam letā hai

    phir is ke ba.ad kaleje ko thaam letā hai

    club meñ ke mohabbat ke jaam letā hai

    vo maarā aql kab is se kaam letā hai

    kare hai sāmnā DaT kar hazār ḳhatroñ

    vo sarġhana hai mohalle ke jeb-katroñ

    budhū ke vāste pāThak ke ghar bhī jaatā hai

    qarol-bāġh ke chakkar bhī vo lagātā hai

    jahāñ bhī jaatā hai māyūs luuT aatā hai

    marīz-e-ishq hai sote meñ baḌbaḌātā hai

    ilaaj kar liye sab desī o bidesī ke

    hakīm thak ga.e tāqat ke pharmacy ke

    ye us āḳhirī ḳhvāhish hai jo ki puurī ho

    vo dasvīñ fail hai laḌkī magar p.hd ho

    frij ho fan ho motor ho aur T.v ho

    chalegī laḌkī vo puurī ho adhūrī ho

    hazār fāqoñ meñ zaa.il na tandurustī ho

    ye shart bhī hai zarūrī ki laal jantī ho

    dulhan jo dil faqat dil se baat kahtī hai

    vafāt-e-jazba-e-dil ko hayāt kahtī ho

    patī ke zulm-o-sitam ko najāt kahtī ho

    agar vo din ko kahe raat raat kahtī ho

    fasāna pyaar bātoñ ko vo banā Daale

    ḳhamoshī shart hai chāhe patī jalā Daale

    hamare lal ko darkar hai wahi laDki

    ki jis ka bap police mein ho kam se kam deputy

    jo puri kar sake hasrat hamare beTe ki

    papiha pyar ka kahna hai har ghaDi pi-pi

    sharab o raqs se raghbat jue ki aadat hai

    ye ghunda-gardi nahin KHandani shaukat hai

    kamar KHamida hai itni ki mim lagta hai

    wo aashiqon ki mohabbat mein team lagta hai

    wo ahmaqon ki sabha mein fahim lagta hai

    KHuda ke fazl se aadha yatim lagta hai

    mizaj-e-yar laDakpan se aashiqana hai

    KHuda ka shukr hai andha nahin hai kana hai

    nahaar-munh kai filmon ke nam leta hai

    phir is ke baad kaleje ko tham leta hai

    club mein ja ke mohabbat ke jam leta hai

    wo mara aql ka kab is se kaam leta hai

    kare hai samna DaT kar hazar KHatron ka

    wo sarghana hai mohalle ke jeb-katron ka

    budhu ke waste paThak ke ghar bhi jata hai

    qarol-bagh ke chakkar bhi wo lagata hai

    jahan bhi jata hai mayus luT aata hai

    mariz-e-ishq hai sote mein baDbaData hai

    ilaj kar liye sab desi o bidesi ke

    hakim thak gae taqat ke pharmacy ke

    ye us ki aaKHiri KHwahish hai jo ki puri ho

    wo daswin fail hai laDki magar phd ho

    frij ho fan ho motor ho aur Tw ho

    chalegi laDki wo puri ho ya adhuri ho

    hazar faqon mein zail na tandurusti ho

    ye shart bhi hai zaruri ki lal janti ho

    dulhan jo dil ki faqat dil se baat kahti hai

    wafat-e-jazba-e-dil ko hayat kahti ho

    pati ke zulm-o-sitam ko najat kahti ho

    agar wo din ko kahe raat raat kahti ho

    fasana pyar ki baaton ko wo bana Dale

    KHamoshi shart hai chahe pati jala Dale

    Source:

    kulliyat-e-saghar khyaamii (Pg. 330)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now