aah meri zaban par aai
aah merī zabān par aa.ī
ye balā āsmān par aa.ī
ālam-e-jāñ se to nahīñ aaya
ek aafat jahān par aa.ī
piirī aafat hai phir na thā goyā
ye balā jis javān par aa.ī
ham bhī hāzir haiñ khīñchiye shamshīr
tab.a gar imtihān par aa.ī
tab Thikāne lagī hamārī ḳhaak
jab tire āstān par aa.ī
ātish-e-rang-e-gul se kyā kahiye
barq thī āshiyān par aa.ī
tāqat-e-dil ba-rang-e-nik.hat-e-gul
pher apne makān par aa.ī
ho jahāñ 'mīr' aur ġham us kā
jis se aalam kī jaan par aa.ī
aah meri zaban par aai
ye bala aasman par aai
aalam-e-jaan se to nahin aaya
ek aafat jahan par aai
piri aafat hai phir na tha goya
ye bala jis jawan par aai
hum bhi hazir hain khinchiye shamshir
taba gar imtihan par aai
tab Thikane lagi hamari KHak
jab tere aastan par aai
aatish-e-rang-e-gul se kya kahiye
barq thi aashiyan par aai
taqat-e-dil ba-rang-e-nikhat-e-gul
pher apne makan par aai
ho jahan 'mir' aur gham us ka
jis se aalam ki jaan par aai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0436
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.