aankhen jo hon to ain hai maqsud har jagah
āñkheñ jo hoñ to ain hai maqsūd har jagah
bizzāt hai jahāñ meñ vo maujūd har jagah
vāqif ho shān-e-bandagī se qaid-e-qibla kyā
sar har kahīñ jhukā ki hai masjūd har jagah
mū tan pe ham na soḳhta-jānoñ ke haiñ numūd
hai sozish-e-darūñ se barūñ duud har jagah
dillī ke lakhna.ū ke ḳhush-andām ḳhuub lek
rāh-e-vafā-o-mehr hai masdūd har jagah
phirtī hai apne saath lagī muttasil fanā
āb-e-ravāñ se ham hue nābūd har jagah
shohrā rakhe hai terī ḳhariyyat jahāñ meñ shaiḳh
majlis ho yā ki dasht uchhal-kūd har jagah
saudā-e-āshiqī meñ to jī kā ziyān hai
phirte haiñ 'mīr' DhūñDte hī suud har jagah
aankhen jo hon to ain hai maqsud har jagah
bizzat hai jahan mein wo maujud har jagah
waqif ho shan-e-bandagi se qaid-e-qibla kya
sar har kahin jhuka ki hai masjud har jagah
mu tan pe hum na soKHta-jaanon ke hain numud
hai sozish-e-darun se barun dud har jagah
dilli ke lakhnau ke KHush-andam KHub lek
rah-e-wafa-o-mehr hai masdud har jagah
phirti hai apne sath lagi muttasil fana
aab-e-rawan se hum hue nabud har jagah
shohra rakhe hai teri KHariyyat jahan mein shaiKH
majlis ho ya ki dasht uchhal-kud har jagah
sauda-e-ashiqi mein to ji ka ziyan hai
phirte hain 'mir' DhunDte hi sud har jagah
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1246
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.