Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aashiq ho to apne tain diwana sab mein jate raho

Meer Taqi Meer

aashiq ho to apne tain diwana sab mein jate raho

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    'āshiq ho to apne ta.iiñ dīvāna sab meñ jaate raho

    chakkar maaro jaise bagūlā ḳhaak uḌāte aate raho

    dostī jis ko log kaheñ haiñ jaan se us ko ḳhusūmat hai

    ho jaave jo tum ko kisī se tā-maqdūr chhupāte raho

    dil lagne choT burī hai is sadme se ḳhudā-hāfiz

    baare sa’i-o-kashish koshish se ko apne bachāte raho

    aa.ī bahār junūñ ho mubārak 'ishqallāh hamāre liye

    naa'l jaḌe sīnoñ pe phiro tum daaġh saroñ pe jalāte raho

    shā'ir ho mat chupke raho ab chup meñ jāneñ jaatī haiñ

    baat karo abyāt paḌho kuchh baiteñ ham ko batāte raho

    abr-e-siyah qible se aayā tum bhī sheḳho paas karo

    taḳhfīfe Tuk laT-paTe bāñdho sāḳhta madh-māte raho

    kyā jaane vo maa.il hove kab milne tum se 'mīr'

    qibla-o-kā’ba us jānib aksar aate jaate raho

    'ashiq ho to apne tain diwana sab mein jate raho

    chakkar maro jaise bagula KHak uDate aate raho

    dosti jis ko log kahen hain jaan se us ko KHusumat hai

    ho jawe jo tum ko kisi se ta-maqdur chhupate raho

    dil lagne ki choT buri hai is sadme se KHuda-hafiz

    bare sa’i-o-kashish koshish se ji ko apne bachate raho

    aai bahaar junun ho mubarak 'ishqallah hamare liye

    na'l jaDe sinon pe phiro tum dagh saron pe jalate raho

    sha'ir ho mat chupke raho ab chup mein jaanen jati hain

    baat karo abyat paDho kuchh baiten hum ko batate raho

    abr-e-siyah qible se aaya tum bhi sheKHo pas karo

    taKHfife Tuk laT-paTe bandho saKHta hi madh-mate raho

    kya jaane wo mail howe kab milne ka tum se 'mir'

    qibla-o-ka’ba us ki jaanib aksar aate jate raho

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1706
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now