aata hai dil mein haal-e-bad apna bhala kahun
aatā hai dil meñ hāl-e-bad apnā bhalā kahūñ
phir aaphī aap soch ke kahtā huuñ kyā kahūñ
parvāna phir na sham.a kī ḳhātir jalā kare
gar bazm meñ ye apnā tirā mājrā kahūñ
mat kar ḳhirām sar pe uThā legā ḳhalq ko
baiThā agar galī meñ tirā naqsh-e-pā kahūñ
dil aur diida bā.is-e-īzā-o-nūr-e-ain
kis ke ta.iiñ burā kahūñ kis ko bhalā kahūñ
aave sumūm jā-e-sabā baaġh se sadā
gar shamma apne soz-e-jigar kā maiñ jā kahūñ
jaatā huuñ 'mīr' dasht-e-junūñ ko maiñ ab ye kah
majnūñ kahīñ mile to tirī bhī duā kahūñ
aata hai dil mein haal-e-bad apna bhala kahun
phir aaphi aap soch ke kahta hun kya kahun
parwana phir na shama ki KHatir jala kare
gar bazm mein ye apna tera majra kahun
mat kar KHiram sar pe uTha lega KHalq ko
baiTha agar gali mein tera naqsh-e-pa kahun
dil aur dida bais-e-iza-o-nur-e-ain
kis ke tain bura kahun kis ko bhala kahun
aawe sumum ja-e-saba bagh se sada
gar shamma apne soz-e-jigar ka main ja kahun
jata hun 'mir' dasht-e-junun ko main ab ye kah
majnun kahin mile to teri bhi dua kahun
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0326
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.