aatish ke shoale sar se hamare guzar gae
ātish ke sho.ale sar se hamāre guzar ga.e
bas ai tab-e-firāq ki garmī meñ mar ga.e
manzil na kar jahāñ ko ki ham ne safar se aah
jin kā kiyā surāġh sunā ve guzar ga.e
musht-e-namak se bhī to kabhū yaad kar hameñ
ab daaġh khāte khāte falak jī to bhar ga.e
nāseh na roveñ kyūñke mohabbat ke jī ko ham
ai ḳhānumāñ-ḳharāb hamāre to ghar ga.e
talvār aap khīñchiye hāzir hai yaañ bhī sar
bas āshiqī kī ham ne jo marne se Dar ga.e
kar deñge āsmān-o-zamīñ ek hashr ko
is ma.arke meñ yaar jī ham bhī agar ga.e
qaaf
ye rāh-o-rasm-e-dil-shudagāñ guftanī nahīñ
jaane de 'mīr' sāhib-o-qibla jidhar ga.e
roz-e-vidā.a us kī galī tak the ham bhī saath
jab dardmand ham ko ve mā'lūm kar ga.e
kar yak nigāh yaas kī Tap de se ro diyā
phir ham idhar ko aa.e miyāñ ve udhar ga.e
aatish ke shoale sar se hamare guzar gae
bas ai tab-e-firaq ki garmi mein mar gae
manzil na kar jahan ko ki hum ne safar se aah
jin ka kiya suragh suna we guzar gae
musht-e-namak se bhi to kabhu yaad kar hamein
ab dagh khate khate falak ji to bhar gae
naseh na rowen kyunke mohabbat ke ji ko hum
ai KHanuman-KHarab hamare to ghar gae
talwar aap khinchiye hazir hai yan bhi sar
bas aashiqi ki hum ne jo marne se Dar gae
kar denge aasman-o-zamin ek hashr ko
is marke mein yar ji hum bhi agar gae
qaf
ye rah-o-rasm-e-dil-shudagan guftani nahin
jaane de 'mir' sahib-o-qibla jidhar gae
roz-e-widaa us ki gali tak the hum bhi sath
jab dardmand hum ko we ma'lum kar gae
kar yak nigah yas ki Tap de se ro diya
phir hum idhar ko aae miyan we udhar gae
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0589
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.