ab dil KHizan mein rahta hai ji ki rukan ke sath
ab dil ḳhizāñ meñ rahtā hai jī kī rukan ke saath
jaanā hī thā hameñ bhī bahār-e-chaman ke saath
kab tak ḳharāb shahr meñ us ke phirā kareñ
ab jāveñ yaañ se koī ġharīb-ul-vatan ke saath
ham baaġh se ḳhizāñ meñ ga.e par hazār-haif
jaanā banā na apnā gul-o-yāsman ke saath
luknat se kyā nikaltī nahīñ us ke muñh se baat
chipkā hai harf yaar ke shīrīñ dahan ke saath
jī ḳhvāb-e-marg le ga.e hasrat hī meñ nidān
ik shab na so.e ham kisū gul pairahan ke saath
jī phaT gayā hai rashk se chaspāñ libās ke
kyā tang jaama lipTā hai us ke badan ke saath
kyā jāneñ log ishq kā rāz-o-niyāz 'mīr'
ik baat us se ho ga.ī do-do bachan ke saath
ab dil KHizan mein rahta hai ji ki rukan ke sath
jaana hi tha hamein bhi bahaar-e-chaman ke sath
kab tak KHarab shahr mein us ke phira karen
ab jawen yan se koi gharib-ul-watan ke sath
hum bagh se KHizan mein gae par hazar-haif
jaana bana na apna gul-o-yasman ke sath
luknat se kya nikalti nahin us ke munh se baat
chipka hai harf yar ke shirin dahan ke sath
ji KHwab-e-marg le gae hasrat hi mein nidan
ek shab na soe hum kisu gul pairahan ke sath
ji phaT gaya hai rashk se chaspan libas ke
kya tang jama lipTa hai us ke badan ke sath
kya jaanen log ishq ka raaz-o-niyaz 'mir'
ek baat us se ho gai do-do bachan ke sath
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1869
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.