ab ke jo gul ki fasl mein hum ko junun hua
ab ke jo gul kī fasl meñ ham ko junūñ huā
vo dil ki jis pe apnā bharosā thā ḳhuuñ huā
Thahrā gayā ho Tuk bhī to tum se bayāñ karūñ
aate hī us ke raftan-e-sabr-o-sukūñ huā
thā shauq-e-tauf-e-turbat-e-majnūñ mujhe bahut
ik gard-bād-e-dasht mirā rah-numūñ huā
sailāb aage aaya chalā jaate dasht meñ
be-iḳhtiyār rone kā mere shugūñ huā
jaan us kī teġh-e-tez se rakh kar dareġh 'mīr'
said-e-haram nidān shikār-e-zubūñ huā
ab ke jo gul ki fasl mein hum ko junun hua
wo dil ki jis pe apna bharosa tha KHun hua
Thahra gaya ho Tuk bhi to tum se bayan karun
aate hi us ke raftan-e-sabr-o-sukun hua
tha shauq-e-tauf-e-turbat-e-majnun mujhe bahut
ek gard-baad-e-dasht mera rah-numun hua
sailab aage aaya chala jate dasht mein
be-iKHtiyar rone ka mere shugun hua
jaan us ki tegh-e-tez se rakh kar daregh 'mir'
said-e-haram nidan shikar-e-zubun hua
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1073
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.