ab samajh aai martaba samjhe
ab samajh aa.ī martaba samjhe
gum kiyā ḳhud ke tiiñ ḳhudā samjhe
is qadar jī meñ hai daġhā us ke
ki duā kariye to daġhā samjhe
kuchh samajhte nahīñ hamārā haal
tum se bhī ai butāñ ḳhudā samjhe
ġhalat apnā ki us jafā-jū ko
sādgī se ham āshnā samjhe
nukta-dāñ bhī ḳhudā ne tum ko kiyā
par hamārā na mudda.ā samjhe
likhe daftar kitābeñ kiiñ tasnīf
par na tāle.a kā ham likhā samjhe
'mīr' sāhib kā har suḳhan hai ramz
be-haqīqat hai shaiḳh kyā samjhe
ab samajh aai martaba samjhe
gum kiya KHud ke tin KHuda samjhe
is qadar ji mein hai dagha us ke
ki dua kariye to dagha samjhe
kuchh samajhte nahin hamara haal
tum se bhi ai butan KHuda samjhe
ghalat apna ki us jafa-ju ko
sadgi se hum aashna samjhe
nukta-dan bhi KHuda ne tum ko kiya
par hamara na muddaa samjhe
likhe daftar kitaben kin tasnif
par na talea ka hum likha samjhe
'mir' sahib ka har suKHan hai ramz
be-haqiqat hai shaiKH kya samjhe
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.