ab yan se hum uTh jaenge KHalq-e-KHuda mulk-e-KHuda
ab yaañ se ham uTh jā.eñge ḳhalq-e-ḳhudā mulk-e-ḳhudā
hargiz na īdhar ā.eñge ḳhalq-e-ḳhudā mulk-e-ḳhudā
matlab agar yaañ gum huā andeshe kī jāgah nahīñ
jā kar kahīñ kuchh pā.eñge ḳhalq-e-ḳhudā mulk-e-ḳhudā
dil meñ na jaane ye koī ham khāne ko deñ haiñ inheñ
jo hai muqaddar khā.eñge ḳhalq-e-ḳhudā mulk-e-ḳhudā
go lakhna.ū vīrāñ huā ham aur ābādī meñ jā
maqsūm apnā lā.eñge ḳhalq-e-ḳhudā mulk-e-ḳhudā
ab dī parī guzrī ga.ī ham āj-kal be-ḳhānumāñ
kyā ġhair-azīñ Thahrā.eñge ḳhalq-e-ḳhudā mulk-e-ḳhudā
is bastī se uTh jā.eñge darveshoñ kī kyā mashvarat
ve bhī yahī farmā.eñge ḳhalq-e-ḳhudā mulk-e-ḳhudā
tū 'mīr' hovegā jahāñ amr-e-qazā ke tābe'āñ
rozī tujhe pahuñchā.eñge ḳhalq-e-ḳhudā mulk-e-ḳhudā
ab yan se hum uTh jaenge KHalq-e-KHuda mulk-e-KHuda
hargiz na idhar aaenge KHalq-e-KHuda mulk-e-KHuda
matlab agar yan gum hua andeshe ki jagah nahin
ja kar kahin kuchh paenge KHalq-e-KHuda mulk-e-KHuda
dil mein na jaane ye koi hum khane ko den hain inhen
jo hai muqaddar khaenge KHalq-e-KHuda mulk-e-KHuda
go lakhnau viran hua hum aur aabaadi mein ja
maqsum apna laenge KHalq-e-KHuda mulk-e-KHuda
ab di pari guzri gai hum aaj-kal be-KHanuman
kya ghair-azin Thahraenge KHalq-e-KHuda mulk-e-KHuda
is basti se uTh jaenge darweshon ki kya mashwarat
we bhi yahi farmaenge KHalq-e-KHuda mulk-e-KHuda
tu 'mir' howega jahan amr-e-qaza ke tabe'an
rozi tujhe pahunchaenge KHalq-e-KHuda mulk-e-KHuda
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1557
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.