agarche ab ke hum ai abr KHushk-mizhgan hain
agarche ab ke ham ai abr ḳhushk-mizhgāñ haiñ
pe josh dil meñ kabhū aa gayā to tūfāñ haiñ
sanam parastī meñ ai rāhibāñ na kī taqsīr
tum ahal-e-saumi'a se pūchho ve musalmāñ haiñ
kareñ unhoñ pe bhalā kis tarah nazar gustāḳh
butān-e-shahr hamāre to dīn-o-īmāñ haiñ
chaman meñ jā ke bharo tum guloñ se jeb-o-kanār
ham apne dil hī ke TukḌoñ se gul-badāmāñ haiñ
rahe haiñ dekh jo tasvīr se tire muñh ko
hamārī aañkh se zāhir hai ye ki hairāñ haiñ
rahā hai kaun sā parda tire sitam kā shoḳh
ki zaḳhm-e-sīna hamāre sabhī numāyāñ haiñ
shabīh-e-shakl sā hai haal zabt-e-ishq ke biich
ki rang ruup hai sab kuchh va-lek be-jāñ haiñ
bane to izzat-e-ushshāq meñ na kar taqsīr
ki aise log piyāre aziiz mehmāñ haiñ
jo abr dasht meñ barse to ham uḌāveñ ḳhaak
vo 'mīr'-e-āb hai ham yaañ ke 'mīr'-e-sāmāñ haiñ
agarche ab ke hum ai abr KHushk-mizhgan hain
pe josh dil mein kabhu aa gaya to tufan hain
sanam parasti mein ai rahiban na ki taqsir
tum ahal-e-saumi'a se puchho we musalman hain
karen unhon pe bhala kis tarah nazar gustaKH
butan-e-shahr hamare to din-o-iman hain
chaman mein ja ke bharo tum gulon se jeb-o-kanar
hum apne dil hi ke TukDon se gul-badaman hain
rahe hain dekh jo taswir se tere munh ko
hamari aankh se zahir hai ye ki hairan hain
raha hai kaun sa parda tere sitam ka shoKH
ki zaKHm-e-sina hamare sabhi numayan hain
shabih-e-shakl sa hai haal zabt-e-ishq ke bich
ki rang rup hai sab kuchh wa-lek be-jaan hain
bane to izzat-e-ushshaq mein na kar taqsir
ki aise log piyare aziz mehman hain
jo abr dasht mein barse to hum uDawen KHak
wo 'mir'-e-ab hai hum yan ke 'mir'-e-saman hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0898
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.