ai mujhse tujhko sau mile tujh sa na paya ek main
ai mujh se tujh ko sau mile tujh sā na paayā ek maiñ
sau sau kahīñ tū ne mujhe muñh par na laayā ek maiñ
aalam kī maiñ ne sair kī mujh ko jo ḳhush aaya so tū
sab se rahā mahzūz tū tujh ko na bhāyā ek maiñ
ye josh-e-ġham hote bhī haiñ yuuñ abr-e-tar rote bhī haiñ
chashm-e-jahāñ-āshob se dariyā bahāyā ek maiñ
thā sab ko da.avā ishq kā lekin na Thahrā koī bhī
dānista apnī jaan se dil ko uThāyā ek maiñ
haiñ tālib-e-sūrat sabhī mujh par sitam kyoñ is qadar
kyā mujrim-e-ishq-e-butāñ yaañ huuñ ḳhudāyā ek maiñ
bijlī se yuuñ chamke bahut par baat kahte ho chuke
juuñ abr saarī ḳhalq par huuñ ab to chhāyā ek maiñ
sau rang vo zāhir huā koī na jāgah se gayā
dil ko jo mere choT thī tāqat na laayā ek maiñ
is gulsitāñ se manfa.at yuuñ to hazāroñ ko huī
dekhā na sarv-o-gul kā yaañ Tuk sar pe saaya ek maiñ
rasm-e-kuhan hai dostī hotī bhī hai ulfat baham
maiñ kushtanī Thahrā jo huuñ kyā dil lagāyā ek maiñ
jin jin ne dekhā thā use be-ḳhud huā chetā bhī phir
par 'mīr' jiite jī ba-ḳhud hargiz na aaya ek maiñ
ai mujh se tujh ko sau mile tujh sa na paya ek main
sau sau kahin tu ne mujhe munh par na laya ek main
aalam ki main ne sair ki mujh ko jo KHush aaya so tu
sab se raha mahzuz tu tujh ko na bhaya ek main
ye josh-e-gham hote bhi hain yun abr-e-tar rote bhi hain
chashm-e-jahan-ashob se dariya bahaya ek main
tha sab ko dawa ishq ka lekin na Thahra koi bhi
danista apni jaan se dil ko uThaya ek main
hain talib-e-surat sabhi mujh par sitam kyon is qadar
kya mujrim-e-ishq-e-butan yan hun KHudaya ek main
bijli se yun chamke bahut par baat kahte ho chuke
jun abr sari KHalq par hun ab to chhaya ek main
sau rang wo zahir hua koi na jagah se gaya
dil ko jo mere choT thi taqat na laya ek main
is gulsitan se manfat yun to hazaron ko hui
dekha na sarw-o-gul ka yan Tuk sar pe saya ek main
rasm-e-kuhan hai dosti hoti bhi hai ulfat baham
main kushtani Thahra jo hun kya dil lagaya ek main
jin jin ne dekha tha use be-KHud hua cheta bhi phir
par 'mir' jite ji ba-KHud hargiz na aaya ek main
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0897
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.