ai rashk-e-barq tujhse mushkil hai kar-e-ashiq
ai rashk-e-barq tujh se mushkil hai kār-e-āshiq
ik jhamke meñ kahāñ phir sabr-o-qarār-e-āshiq
ḳhāk-e-siyah se yaksāñ tere liye huā huuñ
tū bhī to ek shab ho sham.a-e-mazār-e-āshiq
ai bahr-e-husn hove ye aag sard Tuk tab
juuñ mauj ho labālab tujh se kanār-e-āshiq
dil-ḳhvāh koī dilbar miltā to dil ko dete
gar chāhne meñ hotā kuchh iḳhtiyār-e-āshiq
palkoñ kī us kī kāvish har dam jab aisī hove
mushkil ki jī se jaave phir ḳhār-ḳhār-e-āshiq
kyā jaane mahv jo ho apne hī rū-o-mū kā
guzre hai kis tarah se lail-o-nahār-e-āshiq
ḳhvārī kā mūjib apnī hai iztirāb har dam
dil samjhe to rahe bhī kuchh e.atibār-e-āshiq
āñkhoñ tale se sarke vo chashm-e-mast Tuk to
jaatā dikhā.ī deve ranj-o-ḳhumār-e-āshiq
kyā bojh bhārī se maiñ nākām kāTtā huuñ
duniyā se hai nirālā kuchh kārobār-e-āshiq
is parde meñ ġham-e-dil kahtā hai 'mīr' apnā
kyā sher-o-shā.erī hai yaaro shi.ār-e-āshiq
ai rashk-e-barq tujh se mushkil hai kar-e-ashiq
ek jhamke mein kahan phir sabr-o-qarar-e-ashiq
KHak-e-siyah se yaksan tere liye hua hun
tu bhi to ek shab ho shama-e-mazar-e-ashiq
ai bahr-e-husn howe ye aag sard Tuk tab
jun mauj ho labaalab tujh se kanar-e-ashiq
dil-KHwah koi dilbar milta to dil ko dete
gar chahne mein hota kuchh iKHtiyar-e-ashiq
palkon ki us ki kawish har dam jab aisi howe
mushkil ki ji se jawe phir KHar-KHar-e-ashiq
kya jaane mahw jo ho apne hi ru-o-mu ka
guzre hai kis tarah se lail-o-nahaar-e-ashiq
KHwari ka mujib apni hai iztirab har dam
dil samjhe to rahe bhi kuchh eatibar-e-ashiq
aankhon tale se sarke wo chashm-e-mast Tuk to
jata dikhai dewe ranj-o-KHumar-e-ashiq
kya bojh bhaari se main nakaam kaTta hun
duniya se hai nirala kuchh karobar-e-ashiq
is parde mein gham-e-dil kahta hai 'mir' apna
kya sher-o-shaeri hai yaro shiar-e-ashiq
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0836
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.