aise mahrum gae hum to giraftar-e-chaman
aise mahrūm ga.e ham to giraftār-e-chaman
ki muue qaid meñ dīvār-ba-dīvār-e-chaman
siine par daaġh kā ahvāl maiñ pūchhūñ huuñ nasīm
ye bhī taḳhta kabhū hovegā sazā-vār-e-chaman
bāġhbāñ baaġh ijāre hī agar denā thā
the zar-e-dāġh se ham bhī to ḳharīdār-e-chaman
ve gunahgār hamīñ haiñ ki jinheñ kahte haiñ
āshiq-e-zār-e-chaman murġh-e-giraftār-e-chaman
ḳhuun Tapke hai paḌā nok se har-yak kī hanūz
kis sitam-dīda kī mizhgāñ haiñ tah-e-ḳhār-e-chaman
bāġhbāñ ham se ḳhushūnat se na pesh aaya kar
āqibat nāla-kashāñ bhī to haiñ darkār-e-chaman
kam nahīñ hai dil-e-pur-dāġh bhī ai murġh-e-asīr
gul meñ kyā hai jo huā hai tū talabgār-e-chaman
gul par aisī to paḌī os ḳhizāñ meñ ki nasīm
sard hī ho ga.ī vaañ garmī-e-bāzār-e-chaman
kyā jazā Thahrtī hai dekhiye kal hashr ko 'mīr'
daaġh har ek mire dil pe hai ḳhūñ-dār-e-chaman
aise mahrum gae hum to giraftar-e-chaman
ki mue qaid mein diwar-ba-diwar-e-chaman
sine par dagh ka ahwal main puchhun hun nasim
ye bhi taKHta kabhu howega saza-war-e-chaman
baghban bagh ijare hi agar dena tha
the zar-e-dagh se hum bhi to KHaridar-e-chaman
we gunahgar hamin hain ki jinhen kahte hain
aashiq-e-zar-e-chaman murgh-e-giraftar-e-chaman
KHun Tapke hai paDa nok se har-yak ki hanuz
kis sitam-dida ki mizhgan hain tah-e-KHar-e-chaman
baghban hum se KHushunat se na pesh aaya kar
aaqibat nala-kashan bhi to hain darkar-e-chaman
kam nahin hai dil-e-pur-dagh bhi ai murgh-e-asir
gul mein kya hai jo hua hai tu talabgar-e-chaman
gul par aisi to paDi os KHizan mein ki nasim
sard hi ho gai wan garmi-e-bazar-e-chaman
kya jaza Thahrti hai dekhiye kal hashr ko 'mir'
dagh har ek mere dil pe hai KHun-dar-e-chaman
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0340
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.