bagh go sabz hua ab sar-e-gulzar kahan
baaġh go sabz huā ab sar-e-gulzār kahāñ
dil kahāñ vaqt kahāñ umr kahāñ yaar kahāñ
tum to ab aane ko phir kah chale ho kal lekin
be-kal aisā hī rahā shab to ye bīmār kahāñ
dil kī ḳhvāhish ho kisū ko to kamī dil kī nahīñ
ab yahī jins bahut hai pa ḳharīdār kahāñ
ḳhaak yaañ chhānte hī kyoñ na phiro dil ke liye
aisā pahuñche hai baham phir koī ġham-ḳhvār kahāñ
dam-zadan maslahat-e-vaqt nahīñ ai hamdam
jī meñ kyā kyā hai mire par lab-e-iz.hār kahāñ
shaiḳh ke aane hī kī der hai maiḳhāne meñ phir
sub.ha sajjāda kahāñ jubba-o-dastār kahāñ
ham se nā-kas to bahut phirte haiñ jī dete vale
zaḳhm-e-teġh us ke uThāne kā sazā-vār kahāñ
tū ne bhī gird-e-ruḳh-e-surḳh nikālā ḳhat-e-sabz
bāġh-e-shādāb-e-jahāñ meñ gul-e-be-e-ḳhār kahāñ
ḳhabt ne aql ke sar-rishte kiye gum saare
ab jo DhūñDo to garebāñ meñ koī taar kahāñ
go ki gardan ta.iiñ yaañ koī lahū meñ baiThe
haath uThātā hai jafā se vo sitamgār kahāñ
Duubā lohū meñ paḌā thā hamagī paikar-e-'mīr'
ye na jaanā ki lagī zulm kī talvār kahāñ
bagh go sabz hua ab sar-e-gulzar kahan
dil kahan waqt kahan umr kahan yar kahan
tum to ab aane ko phir kah chale ho kal lekin
be-kal aisa hi raha shab to ye bimar kahan
dil ki KHwahish ho kisu ko to kami dil ki nahin
ab yahi jins bahut hai pa KHaridar kahan
KHak yan chhante hi kyon na phiro dil ke liye
aisa pahunche hai baham phir koi gham-KHwar kahan
dam-zadan maslahat-e-waqt nahin ai hamdam
ji mein kya kya hai mere par lab-e-izhaar kahan
shaiKH ke aane hi ki der hai maiKHane mein phir
subha sajjada kahan jubba-o-dastar kahan
hum se na-kas to bahut phirte hain ji dete wale
zaKHm-e-tegh us ke uThane ka saza-war kahan
tu ne bhi gird-e-ruKH-e-surKH nikala KHat-e-sabz
bagh-e-shadab-e-jahan mein gul-e-be-e-KHar kahan
KHabt ne aql ke sar-rishte kiye gum sare
ab jo DhunDo to gareban mein koi tar kahan
go ki gardan tain yan koi lahu mein baiThe
hath uThata hai jafa se wo sitamgar kahan
Duba lohu mein paDa tha hamagi paikar-e-'mir'
ye na jaana ki lagi zulm ki talwar kahan
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0896
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.