bad-zaban ho jaise KHush-uslub ho
bad-zabāñ ho jaise ḳhush-uslūb ho
kyā kaheñ jo kuchh ki ho tum ḳhuub ho
be-naqābī us kī hai ham par sitam
lā.iye muñh par to vo mahjūb ho
aisā shahr-e-husn hī hai tāza-rasm
dostī bāham jahāñ ma.ayūb ho
matlab-e-umda hai dil le to rakho
gaah bāshad tum ko bhī matlūb ho
chāhiye hai aur kuchh āshiq ko kyā
jaan kā ḳhvāhāñ agar mahbūb ho
lohū piinā jaan khānā dekhiye
kyā mizāj-e-ishq meñ marġhūb ho
jo kaho ho so muḳhālif aql ke
'mīr' sāhib tum magar majzūb ho
bad-zaban ho jaise KHush-uslub ho
kya kahen jo kuchh ki ho tum KHub ho
be-naqabi us ki hai hum par sitam
laiye munh par to wo mahjub ho
aisa shahr-e-husn hi hai taza-rasm
dosti baham jahan mayub ho
matlab-e-umda hai dil le to rakho
gah bashad tum ko bhi matlub ho
chahiye hai aur kuchh aashiq ko kya
jaan ka KHwahan agar mahbub ho
lohu pina jaan khana dekhiye
kya mizaj-e-ishq mein marghub ho
jo kaho ho so muKHalif aql ke
'mir' sahib tum magar majzub ho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0915
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.