bahaar aai chalo chaman mein hawa ke upar bhi rang aaya

bahaar aai chalo chaman mein hawa ke upar bhi rang aaya
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
bahār aa.ī chalo chaman meñ havā ke uupar bhī rang aaya
kahāñ talak gul na hove ġhuncha rahā muñde muñh so tang aaya
chale haiñ mūñDhe phaTī hai kohnī chassī hai cholī phañsī hai mohrī
qayāmat us kī hai tang-poshī hamārā jī to ba-tañg aaya
vahī hai ronā vahī hai kuḌhnā vahī hai shorish javānī kī sī
buḌhāpā aaya hai ishq hī meñ pa 'mīr' ham ko na Dhang aaya
bahaar aai chalo chaman mein hawa ke upar bhi rang aaya
kahan talak gul na howe ghuncha raha munde munh so tang aaya
chale hain munDhe phaTi hai kohni chassi hai choli phansi hai mohri
qayamat us ki hai tang-poshi hamara ji to ba-tang aaya
wahi hai rona wahi hai kuDhna wahi hai shorish jawani ki si
buDhapa aaya hai ishq hi mein pa 'mir' hum ko na Dhang aaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1340
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.