bahaar aai khile gul phul shayad bagh-o-sahra mein
bahār aa.ī khile gul phuul shāyad bāġh-o-sahrā meñ
jhalak sī mārtī hai kuchh siyāhī dāġh-e-saudā meñ
nifāq-e-mardumāñ 'ājiz se hai zo'm-e-takabbur par
kahūñ kyā ittifāq aisā bhī ho jaatā hai duniyā meñ
numūdārī hamārī bekalī se ek chashmak hai
Thaharnā barq sā apnā hai ho chuknā usī jā meñ
suḳhan das pāñch yaañ haiñ jam' kis husn-e-latāfat se
tafāvut hai mire majmū'a-o-'aqd-e-surayyā meñ
kuaañ dekhā na koī ġhaar maiñ ne shauq ke maare
ba-'ainih raah andhā sā chalā us kī tamanna meñ
bahut thā shor-e-vahshat sar meñ mere soch ne terī
likhī tasvīr to zanjīr pahle khīñch lī pā meñ
judā.ī ke ta'ab khīñche nahīñ haiñ 'mīr' raazī huuñ
jalāveñ aag meñ yā mujh ko pheñkeñ qa’r-e-dariyā meñ
bahaar aai khile gul phul shayad bagh-o-sahra mein
jhalak si marti hai kuchh siyahi dagh-e-sauda mein
nifaq-e-marduman 'ajiz se hai zo'm-e-takabbur par
kahun kya ittifaq aisa bhi ho jata hai duniya mein
numudari hamari bekali se ek chashmak hai
Thaharna barq sa apna hai ho chukna usi ja mein
suKHan das panch yan hain jam' kis husn-e-latafat se
tafawut hai mere majmu'a-o-'aqd-e-surayya mein
kuan dekha na koi ghaar main ne shauq ke mare
ba-'ainih rah andha sa chala us ki tamanna mein
bahut tha shor-e-wahshat sar mein mere soch ne teri
likhi taswir to zanjir pahle khinch li pa mein
judai ke ta'ab khinche nahin hain 'mir' raazi hun
jalawen aag mein ya mujh ko phenken qa’r-e-dariya mein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1200
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.