bas-ki hai gardun-e-dun-parwar dani
bas-ki hai gardūn-e-dūñ-parvar danī
hove paivand-e-zamīñ ye raftanī
bazm meñ se ab to chal ai rashk-e-sub.h
sham' ke muñh par phirī hai murdanī
maiñ charāġh-e-sub.h-gāhī huuñ nasīm
mujh se ik dam ke liye kyā dushmanī
mujh sā mehnat-kash mohabbat meñ nahīñ
har zamāñ kartā rahā huuñ jāñ-kanī
kuchh gadā shā'ir nahīñ huuñ 'mīr' maiñ
thā mirā sar-mashq dīvān-e-‘ġhanī’
bas-ki hai gardun-e-dun-parwar dani
howe paiwand-e-zamin ye raftani
bazm mein se ab to chal ai rashk-e-subh
sham' ke munh par phiri hai murdani
main charagh-e-subh-gahi hun nasim
mujh se ek dam ke liye kya dushmani
mujh sa mehnat-kash mohabbat mein nahin
har zaman karta raha hun jaan-kani
kuchh gada sha'ir nahin hun 'mir' main
tha mera sar-mashq diwan-e-‘ghani’
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1730
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.