basan-e-barq wo jhamke dikhawe
basān-e-barq vo jhamke dikhāve
vale dil shart hai jo taab laave
uḌātā guDDī vo bāhar na aave
mabādā mujh ko bhī guDDā banāve
sabā se maiñ jo lag chal kar gayā vaañ
havā khāve kahā aane na paave
nazākat se bahut hai kam-dimāġhī
rakhe pagḌī pe gul tyorī chaḌhāve
bazan-gāh us kushinde kī galī hai
vahī jaave jo lohū meñ nahāve
na pūchho farsh-e-rah kyā hove us kā
jo ahl-e-dil ho to āñkheñ bichhāve
balā maġhrūr hai vo ātishīñ-ḳhū
bahut minnat karo to jī jalāve
paḌā taḌpā kiyā maiñ duur pahroñ
ajab kyā hai jo paas apne bulāve
butān-e-dair se aisī nahīñ laag
ḳhudā hī ho to ka.abe 'mīr' jaave
basan-e-barq wo jhamke dikhawe
wale dil shart hai jo tab lawe
uData guDDi wo bahar na aawe
mabaada mujh ko bhi guDDa banawe
saba se main jo lag chal kar gaya wan
hawa khawe kaha aane na pawe
nazakat se bahut hai kam-dimaghi
rakhe pagDi pe gul tyori chaDhawe
bazan-gah us kushinde ki gali hai
wahi jawe jo lohu mein nahawe
na puchho farsh-e-rah kya howe us ka
jo ahl-e-dil ho to aankhen bichhawe
bala maghrur hai wo aatishin-KHu
bahut minnat karo to ji jalawe
paDa taDpa kiya main dur pahron
ajab kya hai jo pas apne bulawe
butan-e-dair se aisi nahin lag
KHuda hi ho to kabe 'mir' jawe
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1731
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.