Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-dil hue be-din hue be-waqr hum at-gat hue

Meer Taqi Meer

be-dil hue be-din hue be-waqr hum at-gat hue

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    be-dil hue be-dīñ hue be-vaqr ham at-gat hue

    be-kas hue bebas hue be-kal hue be-gat hue

    ham 'ishq meñ kyā kyā hue ab āḳhir āḳhir ho chuke

    be-mat hue be-sat hue be-ḳhud hue mayyat hue

    ulfat jo kahtā hai hālat nahīñ 'izzat nahīñ

    ham bābat-e-zillat hue shā.ista-e-kulfat hue

    gar koh-e-ġham aisā garāñ ham se uThe pas dostāñ

    sūkhe se ham dainat hue tinke se ham parbat hue

    kyā roiye qaidī haiñ ab rūyat bhī bin gul kuchh nahīñ

    be-par hue be-ghar hue be-zar hue be-pat hue

    āñkheñ bhar aa.iiñ ruñDhā kahiye so kyā chupke se the

    chāhtā mutlaq na thā nā-chār ham ruḳhsat hue

    mast dargāhoñ meñ shab karte the shāhid-bāziyāñ

    tasbīh le kar haath meñ 'mīr' ab hazrat hue

    be-dil hue be-din hue be-waqr hum at-gat hue

    be-kas hue bebas hue be-kal hue be-gat hue

    hum 'ishq mein kya kya hue ab aaKHir aaKHir ho chuke

    be-mat hue be-sat hue be-KHud hue mayyat hue

    ulfat jo ki kahta hai ji haalat nahin 'izzat nahin

    hum babat-e-zillat hue shaista-e-kulfat hue

    gar koh-e-gham aisa garan hum se uThe pas dostan

    sukhe se hum dainat hue tinke se hum parbat hue

    kya roiye qaidi hain ab ruyat bhi bin gul kuchh nahin

    be-par hue be-ghar hue be-zar hue be-pat hue

    aankhen bhar aain ji runDha kahiye so kya chupke se the

    ji chahta mutlaq na tha na-chaar hum ruKHsat hue

    ya mast dargahon mein shab karte the shahid-baziyan

    tasbih le kar hath mein ya 'mir' ab hazrat hue

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1493
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now