be is ke tere haq mein koi kya dua kare
be is ke tere haq meñ koī kyā duā kare
āshiq kahīñ shitāb to hove ḳhudā kare
ai sard-mehr koī mare rah tū garm-e-nāz
pursish kisū ke haal kī terī balā kare
dāman bahut vasī.a hai āñkhoñ kā ai sahāb
lāzim hai tujh ko in hī kā paanī bharā kare
aa kar bikhere phuul mirī musht-e-ḳhāk par
murġh-e-chaman agar haq-e-sohbat adā kare
patthar kī chhātī chāhiye hai 'mīr' ishq meñ
jī jāntā hai us kā jo koī vafā kare
be is ke tere haq mein koi kya dua kare
aashiq kahin shitab to howe KHuda kare
ai sard-mehr koi mare rah tu garm-e-naz
pursish kisu ke haal ki teri bala kare
daman bahut wasia hai aankhon ka ai sahab
lazim hai tujh ko in hi ka pani bhara kare
aa kar bikhere phul meri musht-e-KHak par
murgh-e-chaman agar haq-e-sohbat ada kare
patthar ki chhati chahiye hai 'mir' ishq mein
ji jaanta hai us ka jo koi wafa kare
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1739
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.